Thursday 9 October 2014

Khwabon ka bharam toot gaya

bistar pe bahut dair se mein neem daraz
Sochti thi ke woh iss waqt kahan par hoga?
Mein yahan hoon magar uss koocha-e-rang-o-boo mein…
Roz ki tarha say woh aaj bhi aaya ho ga
Aur jab uss ne wahan mujh ko na paya hoga…
Aap ko ilm hay,woh aaj nahin aayi hain?
Meri har dost se uss ne yahi poocha hoga
Kyoun nahin aayi woh? Kya baat hui hay aakhir?
Khud iss baat par sau baar woh uljha hoga
Kal woh aaye gi toh mein uss se nahin boloonga
Aap hi aap kayi baar woh rootha hoga
Woh nahin hay toh bulandi ka safar kitna kathin
Seerhiyaan charhtey huey uss ne socha hoga
Rahdaari mein, harey lawn mein,phoolon ke qareeb
Uss ne har simt mujhey aan ke dhoondha hoga
Naam bhooley se jo mera kahin aaya hoga
Ghair mehsoos tareeqey se woh chonka hoga
Aik jumley ko kai baar sunaya hoga
Baat kartey huey sau baar woh bhoola hoga
Yeh jo larki nayi aayi hai…kahin woh toh nahin?
Uss ne har chehra yahi soch ke dekha hoga
Jaan-e-mehfil hai magar aaj faqat merey baghair
Hai kiss darja wohi bazm mein tanha hoga
Kabhi sannaton se wehshat jo hui hogi ussey
Uss ne besakhta phir mujh ko pukaara ho ga
Chaltey chaltey koi maanoos si aahat paa kar
Doston ko bhi kissi uzr se roka hoga
Yaad kar ke mujhey num ho gayi hongi palkein
aankh mein par gaya kuch keh ke yeh tala hoga
aur ghabra ke kitaabon mein jo li hogi panah
har satr mein mera chehra ubhar aaya hoga
jab milli ho gi ussey meri alaalat ki khabar
uss ne aahista se deewar ko thama hoga
ittifaqan mujhey uss shaam meri dost milli
mein ne poocha ke ,suno,”aaey they woh? Kaisey thay?”
USS ne aik lamhey ko dekha mujhey aur phir hans di
uss hansi mein to who talkhi thi ke uss se agey
kiya kaha uss ne…mujhey yaad nahin hai leken…
itna maloom hay…
itna maloom hay
“khawabon ka bharam toot gaya”

No comments:

Post a Comment