Thursday 9 October 2014

tum bhi ajab ho meri chaht kay naseeboon ki tarha

tum bhi ajab ho meri chaht kay naseeboo’n ki tarha
munsalik gham kay tasalsul ki gunhghari say

beqarari ki koi shakal agar hoti to woh tum hotay
ya kay bus mai hota


tum ajab ho meri ankhoo’n ki tarha
apni werani say bahir ki bayabani ko takti huwi
bhegi huwi
janay kis khadshay mai, soch mai khoye huwi


kuch soch kay ghabraye huwi
tum ajab ho
meray sheroo’n ki tarha
raat kay jagay huwy


dhoop mai kumlaye huway
hijar ki rahguzaroo’n ki tarha
bul mai bul khaye huway
door tak chaye huwi


zard ghataoo’n ki tarha
tum ajab ho mery khwaboo’n ki tarha
umar say ujray huwy bikhray huway ,tarsay
tum ajab ho meray nenoo’n ki tarha

barsay huway, barsay huway

No comments:

Post a Comment