Saturday 11 October 2014

misaal-e-parah jigar beqaraar rehta hey

misaal-e-parah jigar beqaraar rehta hey
ghuzaaR leta hoon shab din ka baar rehta hai
kisi ka yooN to hua kauN umar bhar phir bhi
mujhe kyuN ab bhi tera intzaar rahta hai
ya janti hooN maiN tu to wafa shanas nahiN
gila mujhe phir bhi hazaar rahta hai
subha phir maiN ne rukh-e-laala pe nami paayi
koi to mere liye ashk-baar rahta hai
sambhal sambhal ke uthao qadam bahaar aayi
chamaN bhi in dinoN kuchh khaardar rehta hai
tu paas ho na ho mere magar hama waqt
meri dua ka terey gird hisaar rehta hai
yeh aarzoo hey meri ik dafa tu keh dey zara
k is sheher mein koyi jaan nisar rehta hai

No comments:

Post a Comment