Saturday 11 October 2014

moti nahi hon rait ka zarra to main b hon

moti nahi hon rait ka zarra to main b hon
dariya tere wajood ka hissa to main b hon
ae qehqahe bakherne waale tu khush b hai?
hansne ki baat chor k hansta to main b hon
mujh aur us main sirf muqaddar ka farq hai
werna wo shakhas jitna hai,utna to main b hon
us ki to soch duniya main jis ka koi nahi
tu kis liye udaas hai tera to main b hon
aik aik ker k doobte taare sujha gaye
mujh ko b doobna hai,sitara to main b hon
ik aaine main dekh ke aaya hai ye khiyal
main kyoun na is se keh don k tuj sa to main b hon

No comments:

Post a Comment