Saturday 11 October 2014

tum sey kehna tha k ab aankh mein aansoo bhe nahien

tum sey be-rangii e hasti ka gilla karna tha
dil pey anbaar hai khoo’n-gashta tamanoun ka
aaj tootay hoye taaroun ka khyaal aaya hai
eik mela hai preshan sii umeedoun ka
chand pas-murda baharoun ka khyaal aaaya hai
paaoun thak thak key reh jatay hain mayousii mein
pur-mahan raag-guzaroun ka khyaal aaya hai
saaqi o baada nahien jaam o lab e joo bhe nahien
tum sey kehna tha k ab aankh mein aansoo bhe nahien

No comments:

Post a Comment