Saturday 11 October 2014

wo aik zakham key har lamha taaza taaza rha

wo aik yaad key har lamha zehan mein jaagii
wo aik zikar key lehjey bhi hum badal na sakey
wo aik naam key jis naam ko na bhooley kabhii
wo aik raah key jis sey kabhi nikal na sakey
wo aik zakham key har lamha taaza taaza rha
wo aik dard key jis sey kabhii sanbhal na sakey
wo eik shakhs key har raah mein jisey dhoonda
jo saath saath kabhii do qadam bhi chal na sakey
yeh sochta hon nazar us kii kya karon “aadil”
key jaan bhi doon to mera hosla nikal na sakey

No comments:

Post a Comment