Tuesday 14 October 2014

Woh kehti hai tumhare baad kiyon barish nahen hoti

Woh kehti hai tumhare baad kiyon barish nahen hoti
Main kehta hon meri jaan hijar sehraon main rehta hai
Woh kehti hai khushiyon main bhi tum tu roney lagtey ho
Main kehta hon meri aankhon ko sawan acha lagta hai
Woh boli kiya ye sab kuch ittafaqan hia tumhara ghum
Main bola ye bhi mumkin hai ye sab kuch ahtraman ho
Woh kehti hai main kuch muztarab c hon
Main kehta hon tum bhi meri rooh jaisi ho
Woh kehti hai tumhain kiyon khoof ata hai hawaon say
Main kehta hon deep tu aisey he hotey hain
Woh kehti hai chalo hawa k saath chaltey hain
Main khamoshi say us k saath chal deta hon bujhney ko
Woh mujh say pochti hai tum kahan gayab ho sadiyon say
Main kehta hon hazaron wasoson k darmiyan gum hon
Woh kehti hai tum kuch dinon say boltey kam ho
Mian kehta hon kae dukh bolney say rok letey hain
Woh kehti hai mujhey ye soch k batla main kaisi hon
Main kehta hon sochney main waqt lagta hai
Woh boli kon aksar yaad ata hai udaasi main
Mian bola kuch puraney raastey, bachpan or ek lerki
Woh kehti hai samander sa koi rehta hai ankhon main
Main kehta hon kabhi mere bhi dil main jhank ker dekho
Woh boli saath bundh janey say behter hia bichhar jaien
Main us ki baat per dukh say hansa or kuch nahen bola
Woh mujh say pochti hai hum ager kuch bhi nahen hain tu
Main kehta hon nahen hona bhi hota hia jahanon main
Woh kehti hai kisi ko mat batana mere bare main
Mian kehta hon magar is geet ko or chandni shab ko
Woh boli dard k is par bhi ek dard hota hai
Main is k baad kitni der tak kuch na bola …

No comments:

Post a Comment