Saturday 11 October 2014

Yahaan Koi Aaiyena-Gar Nahi

Jisey Naaz Sheesha E Dil Pey Hai
Usey Shayed Is Kii Khabar Nahi
K Yeh Pathroun Ka Dyaar Hai
Yahaan Koii Aaiyena-Gar Nahi
Wo Musafir E Shab E Zeest Hon
K Kisi Ki Mujh Pey Nazar Nahi
Meray Raastey Kii Sehar To Hai
Meray Raastey Mein Sehar Nahii
Meray Saath Saath Ravaan To Hai
Koii Saya Sa Kisii Yaad Ka
Hai Wohii Shareek E Saffar Mera
Jo Mera Shareek E Saffar Nahii
Gham E Dil Tera Gham E Dil Sahii
Isey Kar Too Nazar E Gham E Jahaan
Wo Charagh Koii Charagh Hai
Jo Charagh E Raah E Guzar Nahi
Yeh Shameem E Ishq Kii Be-Dilli
Yeh Hyaat E Fan Kii Udaasiyaan
Merey Shehar E Gham Mein Hai Kon Sii
Wo Galli Jo Khaak Basar Nahi
Main Kisi Key Husn Kii Dil-Kashii
Jo Byaan Karoon To Bhi Kis Trah
K Nazar Key Pass Zubaan Nahii
To Zubaan Key Pass Nazar Nahi
Yeh Dyaar E Ghaflat E Shouq Hai
Na Humarey Saath Chaley Koii
K Guzar Rhien Hain Whaan Sey Hum
Jhaan Khud Humarii Guzar Nahii
Na Shameem Ghuncha E Dil Khilla
Na Milli Hyaat Ko Roshnii
Yeh Sehar To Aur Kisii Kii Hai
Yeh Sehar Humarii Sehar Nahii

No comments:

Post a Comment