Friday, 17 October 2014

ye rakh rakh rutain, apni raat ki qismat

ye rakh rakh rutain, apni raat ki qismat
tum apni neend bujhao, tum apne khwaab chuno
bikharti doobti nabzon pe dhayan kaya daina
tum apne dil main dharaktay harf suno
tumhare shehr ki galion main sail-rang bakhair
tumhare naqsh-e-qadam phool phool khilte rahain
wo rehguzar jahan tum lamha bhar thehar ke chalo
wahan pe abr jhukain aasman milte rahain
nahin zaroori ke har ajnabi ki baat suno
har ik sada pe dharkna bhi dil ka farz nahin
sakoot-e-halqa-e-zanjeer-e-dar bhi kiyun tootay
saba ka saath nibhana junoon ka farz nahin
hum aisay log buhat hain jo sochtay hi nahin
ke umar kaisay kati kis ke saath beet gai
hamari tishna labi ka mizaj kaya janay
ke fasl-e-bakhshish-e-mauj-e-faraat beet gai
ye aik pal tha jisay tum ne nauch dala hai
wo ik sadi thi jo be iltafaat beet gai
hamari ankh laho hai tumhain khabar ho gi
charagh khud se bujha hai ke raat beet gai

No comments:

Post a Comment