Tuesday 14 October 2014

zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo makaam

zindagi ke safar mein guzar jaate hain jo makaam
vo phir nahin aate, vo phir nahin aate
phool khilte hain, log milte hain
phool khilte hain, log milte hain magar
patajhar mein jo phool murjhaa jaate hain
vo bahaaron ke aane se khilte nahin
kuch log jo safar mein bichar jaate hain
vo hazaaron ke aane se milte nahin
umar bhar chaahe koi pukaara kare unka naam
vo phir nahin aate, vo phir nahin aate
zindagi ke safar mein …
aankh dhokha hai, kya bharosa hai
aankh dhokha hai, kya bharosa hai suno
doston shaq dosti ka dushman hai
apne dil mein isse ghar banane na do
kal tarapana pare yaad mein jinki
rok lo rooth kar unko jaane na do
baad mein pyar ke chaahe bhejo hazaaron salaam
vo phir nahin aate, vo phir nahin aate
zindagi ke safar mein …
subah aati hai, shaam jaati hai 
subah aati hai, shaam jaati hai yoonhi
waqt chalta hi rahta hai rukta nahin
ek pal mein ye aage nikal jaata hai
aadmI theek se dekh paata nahin
aur parde pe manzar badal jaata hai
ek baar challe jaate hain jo din-raat subah-o-shaam
vo phir nahin aate, vo phir nahin aate
zindagi ke safar mein …

No comments:

Post a Comment