Tuesday 14 October 2014

Samundar poochta hai ab woh dono kiyon nahi aatey

Samundar poochta hai ab woh dono kiyon nahi aatey
wohi donno jo bhegi reet per
ek dosarey ka haath thammay door taak
kabhi hanstey,kabhi kuch gungunatey


Ya kabhi chup chap bhaithey door ufaq ki goodh main
rooposh honay walla sooraj dekhtey
ansoo bhahatey loat jatey!
Samunder poochta hai ab woh donno kiyon nahi aatey


jo aatey theey to apnay saath kitnay khwaub laatey theey
kabhi sahi say dehairoon seepiyaan chunttey theey
nangay paoon pani may challey aatey theey
bheegi reet say nannay gharondhay bhi banatey theey


aur unmain seepiyaan,rangeen say kuch sangreezay yoon sajattey theey
kay jaisay aj kay jugnoo say lamhay
anay walley kal ki moothhi main chupattey theey!
Samundar poochta hai ab woh donno kiyon nahi aatey


magar samundar nay khizaan ki siskiyaan laiti hui
ek shaam ko woh nojawanno ko nahin dekha
jo dair taak tanha sarey sahil raha bhaitta
phir ussnay dair saray khaat


buhut say phool sookay aur tasveerain
aur apnay akhri ansoo
samundar kay hawalley kardiyey..

No comments:

Post a Comment