Tuesday 14 October 2014

Kahaniyan ab badal gayeen hain

Jo such tha ab jhoot ho gaya hai
Jo in mein suraj bana howa tha wo shub ki tareeQ wadiyoon mein uter gaya hai
Na koi tehreer jagti hai na ab koi hurf bolta hai
Na ankh rstoon ko dhaikhtee hai na rah manzil se Aashna hai
wo sara manzer badal gaya hai
Na ab zabaan ki hateliyoon per Dua tehrte hai naikion ki
Hawa ne barbaad ker k rakh deen ana-ein masoom titlion ki
Na ab gulabn mein wo mehk hai
Jo rah se bhatkay musafiroon ko
Bahaar-e-mosum ki bastiyon ka pata bataay
na ab WaFa ki wo bastiyaan hain
Jo thakne waloon ko
Jo apne pyaaron ki rah-guzr se nicherne waloon ka hosla dein
Inhein dua daina Ye sari batein kahaniyan hain
Na ab wo ankhein hain jin mein khwab-on k saray mosum
Gulab mosum banay hoay thay
Na ab wo shamein hain jin mein teri faraib batein
RafeeQ laagti theen zehn-o-dil ko
Na ab wo dil hai na dil ki galiyon mein wo laho hai
Jo zindagi bun k dourta tha
Jo shairi bun k pathron mein gudaz khushboo bakhairta tha
Wo sara manzer badal gaya hai
Na wasl ka koi khwaab baQi na ab wo hurf-e-sukhn baQi
Kahaniyan ab badal gayeen hain
Tumhare janay k baad youn hain
Jo khwaab ankhoon mein chahatoon ka yaQeen bun k tehr gay thay
Wo khwaab saray bikhr gay thay 
Malal dil mein uter gay hain 
Na zindagi hai na zindagi mein wasal-e-mosum ki chah koi
Na shairi hai na shair mein jo dukh hai is se panah koi :(
Jo such tha ab jhoot ho gaya hai
Jo in mein suraj bana howa tha wo shub ki tareeQ wadiyoon mein uter gaya hai 
Kahaniyan ab badal gayeen hain

No comments:

Post a Comment