Tuesday 14 October 2014

magar maiN apni ghazal kis tarah tumam karooN

ye toot’ti huwi sansaiN ye haraf haraf khya’aal
maiN soochta hooN k is baar kis k naam karooN?
taraashtay haiN sabhi zakham apnay apnay—–sakhuN!
kisay sakoot pe kaar’hoN kisay kalam karooN
hazar shakal ubharti hai teri yaad k sath!
kisay mata-e-safar kis ko husan-e-shaam karooN
baghawatooN pe uter aieN khawaisheN meRi
kisaY ree’haaie dooN kis ko aseer-e-daam karooN
tujhay tu kher sanwarnay ko aienay haiN bohat
magar maiN apni ghazal kis tarah tumam karooN

No comments:

Post a Comment