Tuesday 14 October 2014

Yeh pichle ishq ki batein hain

Yeh pichle ishq ki baatein hain 
Jab aankh mein khawab damak’te the
Jab dil mein dagh chamk’te the
Jab pelkain sheher k rastoon mein
Ashkoon ka noor lutati theen
Jab san’sain ujle chehroon ki
Tun-mun mein phool sajaati theen
Jab chand ki rim jhim kirnoon se
Soochon mein bhanwar perr jaate the
Jab eik tala’tum rehta tha Apne be-ant khayaloon mein
Her ehad nibhane ki qasmain  
Khut khoon se likhne ki rasmain 
Jub aam theen dil waloon mein Ab apni ujrri aankhon mein 
Jitni roshan si raatein hain Is umer ki sab sooghatein hain
Woh pichli umer thi beet gayi Woh umer bitaye saal hoe
Ab apni deed k raastoon mein
Kuch rang hai guzre lamhoon ka
Kuch ashkoon ki baratien hain
Kuch bhoole basre chehre hain 
Kuch yadoon ki barsatein hain
Yeh pichle ishq ki batein hain

No comments:

Post a Comment