Tuesday, 11 November 2014

Aankh sy door nah ho dil sy utar jay ga

Aankh sy door nah ho dil sy utar jay ga
Waqt ka kya hai guzrta hai guzr jay ga

Itna manos na ho Khilvat e gham sy apni
Tu kabhi Khud ko bhi dekhy ga to dar jay ga

Tum sar e rah-e-wafa dekhty reh jao gy
Aur wo baam e rafaqat sy utr jay ga

Zindgi teri aata hai tu ye jaanny wala
Teri bakhshish teri dehliz py dhar jay ga

Doobty doobty kashti ko uchala dy doon
Main nahi koi to sahil py utar jay ga

Zabt lazim hai magr dukh hai qaamat ka Fraz
Zalim ab ky bhi na roy ga to mr jay ga

No comments:

Post a Comment