Mazaj hum sey zyada juda na tha uska
Jab apny tor yehi they to kya gila uska
Wo apny zaam mein tha bekhabar raha mujhsy
Usy guman bhi nahi main nahi raha uska
Wo barq ro tha magr reh gaya kahan jany
Ab intezar kary ge shakista pa uska
chalo yeh meil bilakhez hi bany apna
safeena iska Khuda iska naKhuda iska
Ye ehal e dard bhi Kis Ki dohai detey hain
Wo chup bhi ho to zmana hai humnawa uska
Humney tark e talluq mein pehl Ki Faraz
Wo chahta tha magar hosla na tha uska
No comments:
Post a Comment