Qurbat bhi nahi dil sy otar bhi nahi jata
wo shakhs koi fesla kr bhi nahi jata
Aankhen hein ky khali nahi rehti laho sy
Aur zakhm-e-judai hai ky bhar bhi nahi jata
Wo rahat-e-jaN hai magar is dar badri mein
Aisa hai ky ab dhyan odhar bhi nahi jata
Hum dohri aziyat ky griftar musafir
Paon bhi hain shull shoq-e-safar bhi nahi jata
Dil ko teri chahat py bharosa bhi bahot hai
Aur tujh sy bichhaRny ka dar bhi nahi jata
Pagal hoye jata hon Faraz us sy milny ko
Itni si khushi sy koi mar bhi nahi jata
No comments:
Post a Comment