Tujhay kaha na, kay tu hamaisha say raigaan mujh ko soochta hai, wo tu nahi hai
jo mairi chahat, mairi muhab’bat ki dhoop chaoon ka zaviyah hai, wo tu nahi hai
tairi rafaqat ki chaoon mairi hayaat, mairi kainaat bhi aur nijaat bhi hai
magar yeh mujh main jo shaeri ki fizaein hamvaar kar raha hai, tu nahi hai
yeh chaar shamain jo moutabar si fiza main hum nay guzaar li hain to yeh ghanimat
ab is say agay jo muntazir ik charaagh asaar rasta hai, wo tu nahi hai
main manti hoon kay mairay khwaboon main tairi khushboo ki chandni bhi kaheen kaheen thee
yeh shehr laikin mairay hawalay say jin ko tasleem kar raha hai, wo tu nahi hai
wisaal mausam kay khwaab main thee ya hijr kay baynishaan dukh kay azaab main hoon
jo saya saya ikatha kar kay dukhoon say mujh ko nikalta hai, wo tu nahi hai!