Friday, 12 September 2014

aur kuchh dair maiN luT jaaey ga har baam pe chaand

aur kuchh dair maiN luT jaaey ga har baam pe chaand
aks kho jaaeN gay, aaeenay taras jaaeN gay
arsh kay deeda-e-nam-naak say baari baari
sab sitaaray sar-e-khaashaak baras jaaeN gay
aas kay maaray thakay haaray shabistaanoN meiN
apni tanhaai samayTay ga bichhaaey ga koi
bay-wafaai ki ghaRi, tark-e-madaaraat ka waqt
us ghaRi apnay siva yaad na aaey ga koi
tark-e-duniya ka samaaN, khatm-e-mulaaqaat ka waqt
us ghaRi ay dil-e-aawaara, kahaaN jaao gay?
us ghaRi koi kisi ka bhi nahiN rehnay do
koi is waqt milay ga hi nahiN rehnay do
aur milay ga bhi to is taur ke pachhtaao gay
us ghaRi ay dil-e-aawaara kahaaN jaao gay?
aur kuchh der Thehr jaao ke phir nishtar-e-subh
zakhm ki tarah har ek aankh ko baydaar karay
aur har kushta-e-waa-maandgi-e-aakhir-e-shab
bhool kar saa’at-e-dar-maandgi-e-aakhir-e-shab
jaan pehchaan, mulaaqaat pe israar karay.

No comments:

Post a Comment