Friday, 12 September 2014

Be naam manzilon ka safar

Havaa nazar ke tahi dariichoN main
jaane wale ko dhooNdati hai

gul-e-tamasha, na jaane

kab aur kahaN se phooTe!

har ik manzar pey uski khushbu ne

hairatoN ke alam GaaRe haiN

talaash raste bohat kaRe haiN
kahiN se shams-e-muraad ubhare tou


sehar-e-shab haaye kohar TuuTe
bikhharte khavaaboN ka saath chuuTe


guzarte lamhoN ka rasta bhii ajiib jaduu ka silsila hai
ke maiN khhaRa houN ke chal reha houN


kabhi vo ghogha ke baat mushkil
kahiN vo aalim ke saaNs aTke


kahiN havva se nijaat mushkil
har aik saaye maiN uska pekar ajiib jaadu jaga reha hai


ussi ki khushbu har aik manzar ki zindagi hai
ke jis ki farqat ke sard waqfe ne aarzu ke jahaan luuTe


gul-e-tamaasha na jaane kab aur kahaN phuuTe
hvva nazar ke tahi dariichoN maiN jaane wale ko dhoondhati hai.

No comments:

Post a Comment