Friday, 12 September 2014

Kabhi baad e saba bun kar merey ghar ke darechay main

Kabhi baad e saba bun kar merey ghar ke darechay main
Kabhi palkouN pey tharou tum merey khaboun ke rastey main

Kishe ahsas ke kushboo ,jo mehka dey merey mun ko 
Kabhi ayse utar ahoo merey dil ke bageechaye main

Teara masoom bhoola pun mojey bhooley nahi bhoola
Abhi mehfooz hian yadain merey bachpan ke bastey main

Kishe anjaan bundhan ney humain hia bandh kar rakha
Jo larki kuch nahi lagte magar merey tu rishtey main

Ye merey sab gunha he hian mojey mumtaaz kartey hian 
Ye mere voh hia khaseyaat nahi rakhi farishtey main

No comments:

Post a Comment