Saturday 11 October 2014

ab koi aaye to kehna k musaafir to gaya

ho na duniya main koi hum sa bhi piyaasa logo
G main aati hay k p jaayn ye darya logo
kitni is sheher k sakhiyon ki suni thin baaten
hum jo aaye to kisi ne bhi na poocha logo
itifaaqan hi sahi par koi dar to khulta
jhilmilaata pas e chilman koi saaya logo
sab k sab mast rahe apne nihaan khaanon main
koi kuch baat musaafir ki bhi sunta logo
hongay is sheher main kuch us k bhi parrhne waalay
yoon to ye shakhs bhi mash’hoor tha khaasa logo
phir wohi dasht wohi dasht ki tanhaaii hay
wehshat e dil ne kahin ka bhi na rakha logo
G ki G hi main rahi hasraten toofaanon ki
ye safeena to kinaare hi pe dooba logo
band hui jaati hain ,pasaaren paaon
neend c neend humen ab na utthana logo
aik hi shab hay taweel,itni taweel, itni taweel
apne ayyaam main amroz na farda logo
ab koi aaye to kehna k “musaafir to gaya”
ye bhi kehna k,bhala ab bhi na jaata logo

No comments:

Post a Comment