Saturday 11 October 2014

Mujhey to Warta-e-hairaat Mein dal daita hai

Mujhey to Warta-e-hairaat Mein dal daita hai
Woh Baat Baat Par Apni Misaal daita hai
Koii Bhi Naqsh Bana’oun Us Kii Shakal Baney
Woh Merii Fiker ko kaisa Khyaal daita hai
Woh mumtahin hai mohabbat K Sakhat Parchey Ka
Har Imtehaan Mein mushkil Sawal daita hai
Bicharney lagta hai to mujh ko Aisa lagta hai
Badan Sey jaisey, rooh Ko NiKaal daita hai
Jaffa Ka Apni Usey Is Qadar Khyaal to hai
Laga Key Teer Nishaney Par dhaal daita hai
Main Mangta hon Waffa Ka Silla Faqt Us Sey
Jo Roz-o-Shab Ko Arooj o Zawaal daita hai
Bohet Sahey Gham-e-doraan Magar Suno Ehsaas
KHUDA Karey Sey Karra Waqt Taal daita hai

No comments:

Post a Comment