Saturday 11 October 2014

Mujhay tum yaad Aatay ho

Mujhay tum yaad Aatay ho……..
kisi sunsan sapnay may chupee khawahish ke hidat may
kisi musrofiat kay moor par
Tanhai kay sehraaoon may
ya phir kisi anjan beemare ke shidat may


mujhay tum yaad atay ho………..
kisi bicharay huay ki chasm purnam kay nazaray par
kisi beetay huay din ke thakan ke Ooat say
ya phir tumharay zikrr may guzare hue shab kay isharay par
kisi bastee ke baronaq sarak par
Aur kisi darya , kisi veeran jungle kay kinaaray par


mujhay tum yaad aatay ho…………….
maire chup kay kuwain may
aarzooyon kay badan jab tairtay hain
aur kinaray say koi bolay
to lagta hai ajal awaz dayte hai


maire baichainiyon may jab tumhare

tundkho ranjish khatakte hai
tumhare bedoore sulagtee hai
ya phir jab maire ankhon kay sehra may
tumhare yaad ke tasveer jaltee hai, judai haat maltee hai

mujhay tum yaad atay ho…………..

mujhay tum yaad atay ho…………..
muqadar kay sitaroon par
zamano kay isharoon par
udasee kay kinaron par
kabhe veeran shehroon may
kabhe sunsaan rastoon par
kabhe hairaan ankhon may
kabhe bayjaan lamhoon par


mujhay tum yaad atay ho……….
suhaane shaam ho koi
kahen badnaam ho koi
bhalay gulfam ho koi
kisee kay naam ho koi


mujhay tum yaad atay ho………
kahen barish baras jaey
kahen sehra taras jaey
kahen kaalee ghata utray
kahen bad-e-saba tehray


tumharay aur mairay darmiyan Aakay Khuda tehray
to , maire zindage kay awal-o-akhir
tum is lamhay
khuda kay bad Aatay ho………..
mujhay tum yaad atay ho………..

No comments:

Post a Comment