Thursday 9 October 2014

ankh bun jati hai sawan ki ghata sham kay badh

ankh bun jati hai sawan ki ghata sham kay badh
lout jata hai agar koi khafa sham kay badh
woh jo tal jati rahi sir say bala sham kay badh
koi to tha jo deta tha dua sham kay badh
a’ahain bharti hai shab-e-hijar yateemoo’n ki tarha
sard hojati hai har roz hawa sham kay badh
sham tak qaid raha kartay hain dil kay andar
dard hojatay hain saray hi reha sham kay badh
logh thak har kar sojatay hain lakin janaa’n
hum nay khush hokar tera dard saha sham kay badh
sham say pahlay tak lakh sulaye rakhin
jaag uthth’ti hai mohabaat ki ana sham kay badh
khwaab takra kar palat jatay hain bund ankhoo’n say
janay kis jurm ki kis ko hai saza sham kay badh
chand jub rokar sitaroo’n say galay milta hai
ek ajab rung ki hoti hai fiza’a sham kay badh
hum nay tanhaye say pocha milo gi kub tak
is nay bechani say foran hi kaha sham kay badh
mai agar khush bhi raho phir bhi meray senay mai
sogwari koi roti hai sada sham kay badh
tum gaye ho tu saya rung kay kapray pahnay
phirti rahti hai meray ghar mai qaza sham kay badh
lout ati hai meri shab ki ibadaat khali
janay kis arsh par rahta hai khuda sham kay badh
koi bhola huwa gham hai jo musalsal mujh ko
dil kay pataa’l say deta hai sada sham kay badh
mar deta hai ujar janay ka dohra ehsaas
kash ho koi kisi say na juda sham kay badh

No comments:

Post a Comment