Thursday 9 October 2014

hamaisha dair kar daita hoon main

Hamaisha dair kar daita hoon main har kaam karnay main
zaroori baat kehni ho, koi wada nibhana ho
isay aawaaz daini ho, usay wapas bulana ho
hamaisha dair kar daita hoon main!
Madad karni ho uski, yaar ki dharas bundhana ho
bohut dareena rastoon par kisi say milnay jana ho
hamaisha dair kar daita hoon main!
Badaltay mausmoon ki sair main dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhna ho, kisi ko bhool jana ho
hamaisha dair kar daita hoon main!
Kisi ko maut say pehlay kisi ghum say bachana ho
haqeeqat aur thee kuch, usko ja kar yeh batana ho
hamaisha dair kar daita hoon main!!

No comments:

Post a Comment