Thursday 9 October 2014

koi mousam na ab tehray

buzurgoon ki kahawat hai kisi bhi pal k ruk jaane ki khwahish
dil men mat rakhna yaqeen aur was-wasay k beich
kathin,aasaan rastoon men 
na jaane
zeest k kitne hi lamhe hen k jin ko rokna chaaha

magar hum rook na paai phir aise dasht bhi aai
k jin ko paar karne men laga,saari umer guzri
shumaar waqt men lekin yeh sab utne hi lamhe thay
k jin ko rokne ki aarzo men yeh riwayat bhool baithe thay


kisi bhi pal k ruk jaane ki khwahish dil men mat rakhna
k jab mousam tehar jaain udaasi ban k roohon men
tou phir umer e rawaan k saare mousam
aik hi rang aik hi qalb men dhaltey hen


barshaa baras dil k gird anookhi dhund k yeh jaal buntay hen
jahaan koi sunehri yaad andar ja nahi sakti
yeh mousam gar guzar jaai ro pehli chaandni ko
rooh men ummeed ki barsaat ka rasta jo mil jaai


tou saari umer sajdah raiz ho kar yeh dua maangoon
koi mousam na ab tehray…!!!

No comments:

Post a Comment