Saturday 11 October 2014

pyar key samandar mein bhaid bhaid rehta hai

pyar key samandar mein har utarney walley ko
kashtiyaan nahi milltien


door door tak janaa dhoop key musaafir par
saayebaan nahii khultey

is ajab samandar mein umar bhar kii ryaazat key
baad hum ney jana hai


jis trah fizaaon mein urney waley panchii par
bars ha bars mein bhii aasmaan nahi khultey


hijjr e be-karaan mein bhii bhaid bhaid rehta hai
raazdaan nahi miltey baam o dar nahii khultey


har utarney walley ko kashtiyaan nahii miltien
aur mil bhi jaien to badbaan nahii khultey


pyar key samandar mein bhaid bhaid rehta hai

No comments:

Post a Comment