Saturday 11 October 2014

Wo pass tha to mujhay manzilain dikhata tha

Wo pass tha to mujhay manzilain dikhata tha
Juda hoa to wo khud rastay say bhataka tha
Main chal raha hoon mager rastay nahi simattay
Yay hadsa bhi meri zindgi main hona tha
Wo bheer thi k nazer say nazer na milti thi
Hujoom – e – shehr main her admi akela tha
Taras raha hai ab ek boond ki enayat ko
Wo admi jo samandr ki teh main rehta tha
Ghalat keh is kay yahan aag bhi na jalti thi
Ghalat keh sara dhooa’n meray gher say nikla tha
Chalo kay gir hi gai hai apnay boojh say deewar
Chalo keh sirf isi baat ka to jhagra tha

No comments:

Post a Comment