Tuesday 11 November 2014

Aisa hai keh sab khawab musalsal nahin hoty

Aisa hai keh sab khawab musalsal nahin hoty

Jo aaj to hoty hein magar kal nahin hoty


Andar ki fizaon ke karishmy bhi ajab hein

Meenh toot ke barsy bhi to badal nahin hoty


Kuch mushkalen aisi hein keh asan nahin hoti

Kuch aisy moaamy hein keh kabhi hal nahin hoty


Shaistagi gham ke sabab aankhon ke sehra

Numnak to ho jaty hein jal thal nahin hoty


Kesy hi tlatam hon magr quzam-e-jan mein

Kuch yad jazeery hein keh ojhal nahin hoty


Sab khawahishen poori hon Faraz aisa nahin hai

Jaisy kai ashaar mukamal nahin hoty

No comments:

Post a Comment