Har koi apni hi awaz se kanp uthta hai
Har koi apny hi saye se harasan janan
Jis ko dekho wohi zanjeer bapa lagta hai
Shehr ka shehr hoa dakhal-e-zindan janan
Ab tera zikr hi shaid ghazal mein aye
Aor se aor hoye dard ke unwan janan
Hum ke rothi hoi rut ko bhi mana lety the
Hum ne dekha hi nah tha mausam-e-hijran janan
Hosh aya to sabhi khawab the reza reza
jesy urty hoye awraq preshan janan
No comments:
Post a Comment