Jis ke liy hein jaan balab us ko nahin mlal bhi
Ay dil-e-nasaboor ab adat-e-hijr daal bhi
Daman-e-yaar tak kahan ishaq-e-zaboon ki dastaras
Hashmat husan dekh kar bhool gya sawal bhi
Kab se hein log sar bakaf rah mein misl-e-ahwan
Ab to mery shikaar tu teer-o-kaman sanbhaal bhi
Jis ke baghair roz-o-shab sakhat bhi the mohaal bhi
Us kAnjam-o-mahr-o-mahtaab saro-o-sanobar-o-gulaab
Kis se tujhy misal don ho to koi misaal bhi
Us ke khuram-e-naz se aisi qiyamten uthen
Ab ke to maat kha gai chargh-e-kohan ki chaal bhi
Hum ko to omar kha gai khair hum ko to gila nahin
Dekh to kya se kya hoye yaar ke khad-o-khaal bhi
Ab ke Faraz woh hoa jis ka nah tha gumaan tak
Pehli si dosti to kya khatm hai bol chaal
bhie baghair kat gaye kis tarh mah-o-saal bhi
No comments:
Post a Comment