Nah tera qurb hai nah badh hai kya kia jaye
Phir aj dukh bhi zeyada hai kya kia jaye
Humen bhi arz-e-tamana ka dhab nahin ata
Mazaj-e-yar bhi sada hai kya kia jaye
Kuch apny dost bhi turkash badosh phirty hein
Kuch apna dil bhi kushada hai kya kia jaye
Woh mehrban hai magr dil ka hirs bhi kam ho
Talb karm se zeyada hai kya kia jaye
Nah us se tark-e-taaluq ki bat kr paen
Nah humdami ka irada hai kya kia jaye
Salook-e-yar se dil dobny lga hai Faraz
Magr yeh mehfal-e-aada hai kya kia jaye
No comments:
Post a Comment