Sunday, 5 April 2015

Maa Teri Yaad Satati Hai

Maa Teri Yaad Satati Hai,
Mere Paas Aa Jaao

Thak Gayi Hoon, Mujhe 
Apne Aanchal Main Sulao

Ungliyaan Apni Pher Kar 
Baalon Main Mere

Ek Baar Phir Se 
Bachpan Ki Loriyaan Sunaao !!!

Labon Pe Us Ke Kabhi Bad'dua Nai Hoti

Labon Pe Us Ke Kabhi Bad'dua Nai Hoti
Bas Ik Maa Hai Jo Kabhi Khafa Nai Hoti

Daastan Mere Laad Pyaar Ki Bas

Daastan Mere Laad Pyaar Ki Bas
Aik Hasti K Gird Ghoomti Hai

Pyaar Jannat Se Is liye Hai Mujhe
Ye Meri 'Maa' K Qadam Choomti Hai

Waqt YAAD se Wabsta Hai

Waqt YAAD se Wabsta Hai,
Yad KHWAB se Wabsta Hai,

Khwab NAAM se Wabsta Hai,
Naam JAAN se Wabsta Hai,

Jaan PIYAR se Wabsta Hai,
Mera WAQT Meri YAAD

Mera KHWAB Mera NAAM
Meri JAAN Mera PIYAR

Sab 1 Hasti se Wabsta Hain
OR WO HAI SIRF MERI MAA.

MAA Tab Bhi Roti Thi

MAA Tab Bhi Roti Thi,
Jab Beta Khana nahi Khata Tha,


Aur MAA Aaj Bhi Roti Hai,
Jab Beta Khana Nahi Deta.

Soya naheen hon mein sulaa do maan

Soya naheen hon mein sulaa do maan,
Aajao mujhe lori sunaa do maan,


Ashk meri ankhon mein jam se gaye hain,
Kar ke dil pe jabbar mujhe rula do maan,

Dekho kitni be-tareeb ho gayi hai zindagi,
Bikhray hain mere baal bana do maan..

Ye roshan aur piyari aankhain

Ye roshan aur piyari aankhain
Zalim khaak mein rul jaingi


God mein lainy wali baanh’ain
Beher-e-fana mein ghul jaingi

Maa’n tum tanha chorr k hum ko
Sheher-e-ajal mein kho jaogi

Bujh jaingi roshan aankhain
Maa’n tum chain se so jaogi

Sheher-e-abad ki ho jaogi
Charagar’on k qaatil jumley

Sunta hun to dukh hota hai
Zabt karo’n to dum ghut’ta hai

Ashk piyu’n tou dil rota hai
Taaq umer se dheeray dheeray

Kitni sham’ain bicharr chuki hain
Tum se pehly taiz hawa se

Kitni aankhain ujarr chuki hain
Lekin ye ghum kaisa ghum hai?

Jis k sog mein chashm-e-falak bhi
Janay kitney roz se num hai

Janey kab tk ro’aingi aankhain
janay kab tk lamhay gin gin

Guzraingy sooli per ye din
Aur phir ik din . . .

Sochta hun to kaanp uthta hun. . .!

Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to

Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to,
Mujh ko yu’n mehsoos hua,


Apna sab kuch chorr ke jese,
Ik lamhe mein,

Mera sab kuch us ne apna maan liya hai,
Mujh ko sab kuch jaan liya hai..

Waqt ki karri dhoop mein dhaal ban jati hai

Waqt ki karri dhoop mein dhaal ban jati hai,
Mere aansu jo bahe’n to rumaal ban jati hai,


Jis roz maan ki duayain na samait kar mein nikloon,
Us roz yeh zindagi bhi wabaal ban jati hai,

Jo log azmat maan ki pehchaan ke chalte hain,
Taareekh mein bhi un ki misaal ban jati hai,

Maan ho agar saleeqa’mand aur ba’shaoor, Waqas,
Us ke saaye mein shakhsiyat bakamaal ban jati hai..

Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maan

Kehta tha na mujh ko pardes bhejo maan,
Ab mery baghair eid kaisy manao gi maan,


Sab k bety jab aayen ge eid parh ke,
Tum darwazy mein khari takti reh jaogi maan,

Saway’yan jab bantny lago gi mohally mein,
Tumhari palk aanson se bheeg jaye gi maan,

Sham tak bhi jab na pohnch paonga ghar,
Tery dil ki dharkan jaisy ruk si jayegi maan,

Eid parh kr jab wapis aaonga duty pe,
Tasali ye dil ko de kr so jaonga maan,

Eid ka kiya hai agly saal phir ajyegi maan..

Tum Fojiyon Se Mohabbat Kyun Karti Ho

Tum Fojiyon Se Mohabbat Kyun Karti Ho,
Hum Fojiyon Se Mohabbat Na Kiya Karo, Maan,


Hamare Janazey Hamesha Jawaan Uthte Hain,
Aur Meri Maan,

Yeh Sun Kar Ro Diya Karti Thi,
Kahin Jo Tumhen Meri Maan Miley,

Tou Usey Kehna,
Woh Fojiyon Se Mohabbat

Na Kiya Kare,
Darwazey Ki Chokhat Per Beth Kar,

Mera Intizar
Na Kiya Kare,

Tum Meri Maan se Kehna,
Woh Roya Na Kare…

Maan Achi Tarah Tyar Karna

Maan Achi Tarah Tyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai,
Bohat Sa Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai,


Sabhi Behno Ki Muhabbat Aaj Muje hi Ko Dey Do,
Dil-o-Jaan Nisaar Karna, Aj Mera Akhri Din ha,

Abbu ha Ammi ha Behan Bhai ha Saray,
Muj Ko Na Shumar Karna, Aj Mera Akhri Din ha,

Tumhay Staya, Tumhay Rulaya, Bohat Dukh diye hai tum ko,
Mujhe Maaf Meray Yaar Karna, aj Mera Akhri din ha,

Mai Chala KHUDA HAFIZ, Phir Milay Gey Jannat ma,
Maa Akhri Baar Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din ha….!

Meri chahat ka jo jahan hai

Meri chahat ka jo jahan hai,
wo meri maan hai,


meri zameen ka jo asman hai,

wo meri maan hai,

mera sub kuch jis k nam hai,
wo meri maan hai,

hunsy mere jis k wagood se hai,
wo mery maan hai..

Maa Ki Dua

Jannat Nazeer Hai Meri Maa
Rehmath Ki Tasweer Hai Meri Maa


Mein Ek Khawab Hoon Zindagi Ka
Jiski Tabeer Hai Meri Maa

Zindagi Ki Mushkil Rahoun Me
Mashaal-E-Raah Hai Meri Maa

Mere Har Gham,Mere Har Dard Me
Ek Naya Josh Hai Meri Maa

Meri Har Nakaami Wabista Hai Mujh se
Meri Har Kamayabi Ka Raaz Hai Meri Maa

Chupa Leti hai Woh Zakhm Ko Marham Ki Tarah
Mere Dard Ki Dawaa Hai Meri Maa

Duniya Me Nahi Koi Badal Iska
Mamta Me Hai Mukammil Meri Maa

Wo Meri Badslooqi Par B Mujhe Dua Deti Hai

'Wo Meri Badslooqi Par B Mujhe Dua Deti Hai,,,,,,,,
Aagosh Main Le Kar sub Gham Bhula Deti Hai,,,,,,,


Yun Lagta Hai Jesy JANNAT Se Aa Rahi hai Khushbu,,,,
JAb wo Apny Pallu se Mujhe Hawa Deti Hai,,,,,,,,,,,

Main Jo Anjane Main Karoo Koi Galti,,,,,,,,,
Meri "MAA" ISs Paar Bhi Musskra Deti Hai,,,,

Keya Khoob Banya Hai RAAb Ne Rishta "MAA" ka,,,
Veran Ghar Ko B"MAA" JANNAT Bana Deti Hai,'

MAA bina zindgi viran hoti hy

'"MAA" bina zindgi viran hoti hy
Tanha safar me hr rah "Sunsaan hoti hy


Zindagi me "MAA" ka hona zarori hai

"MAA" KI duaon se hi har

mushkil"Aasaan hoti hai.plz mari
maa ki sehat mand zindagi or

khushyun se bhari zindagi ki dua
krain.allah unko hamesha khush

rakhay or Har Eik ke Maa ko sehat mand 
zindagi rahay aaameen summa ammeeen'

Wohi meri subh ,meri sham hoti thi

Wohi meri subh ,meri sham hoti thi
Garmiyon ki dhop me,wo mera saibhan hoti thi

Mere lie wo sehti thi tahne dosaron k
Mere lie wo har waqt odas hoti thi

Satata tha me use jii bhar k
Lakin uss k labon par phir bhi dua hoti thi

Chala jata tha me jab bhi kahen door
Nazar hamaisha us ki darwaze par hoti thi

Karta nahin tha talash kahen bhi me
Uss k qadmoo me hi meri janat hoti thi

Chor jate the jab bhi log bachpan me
Uss k hathon me hi meri ongali hoti thi

Ratjagon k azab jo mujh par otarte the
Uss ki mohabbat hi meri lori hoti thi

Qurban karti thi wo mujh par apna sab kuch
Meri khoshi me hi uss ki khoshi hoti thi

HUSSNAIN yad ati hai mujh ko wohi maa bar bar
Meri shohrat jiss ki dauon se hoti thi

Maan ki dua khaali nahin jati

Maan ki dua khaali nahin jati,
Us ki bd-dua bhi taali nahi jati,


Bartan maanjh kar bhi Maaan,
Teen chaar Bache paal hi leti hai,

Magar teen chaar bachon se,
Aik maan paali nahin jati…

Main choti si ik bachi thi

Main choti si ik bachi thi
teri ungli tham kai chalti thi


tu door nazar se hoti thi
main aansoo ansoo roti thi

khabon ka ik roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi

Jab darti thi main ratun ko
tu apne sath sulati thi

Maan tu ne kitne barson tak
is phool ko seincha hathon se

Jeevan kai gheray bhedon ko
main samjhi teri batoon se

Mein teree yaad kai takia per
ab bhi rat ko sotee hoon

Maan me choti see ik bachi
teri yad mein ab bhi rooti hoon

Aaj mujhe aaukat ka andaza ho gaya

Aaj mujhe aaukat ka andaza ho gaya
Maa ne chhua sukha gulab to taza hogaya

Raat maine ghar p nahi khaya khana
Kal meri maa ka bhi faaka hogaya

Seeny se laga k kaha kerti thi maa mujh ko

Seeny se laga k kaha kerti thi maa mujh ko
to laaal hai na sata mujh ko


pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi
na chahty hue bhi akela choor jaun gi


zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko
yaad kerke roye ga tu phir mujh ko


muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a
ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya

Hm jugnu thy hm titli thy

Hm jugnu thy, hm titli thy, hm rang barange panchi thy,
Kuch mah-o-sal ki janat mei Maa hm dono b sanjhi thy,…


Mai chota sa ik bcha tha, teri ungli tham k chalta tha,
Tu dour nzr se hoti thi mai ansu ansu rota tha,


ik khwabon ka roshan basta tu roz mujhe pehnati thi,
…Jb drta tha mai raton ko tu apne sath sulati thi,


Maa tuny kitne barson tk is phol ko sencha hathon se,
Zindagi k gehre bhedon ko mai smjha teri baton se,


Mai tere hath k takiye pr ab b rat ko sota hon,
Maa mai ik chota sa bcha hon teri yad mei ab b rota hon.

Ye kamyabian ezaat ye naam tum say hay

Ye kamyabian ezaat ye naam tum say hay,
Khuda ne jo b deya hay mukam tum say hay,


Tumhary dam say hay mery lahoo mein khilty gulab,
Mery wajood ka sara nizam tum say hay,


Kanha bisaat janhan aor main kamsan o nadan,
Ye meri jeet ka sb ehtamam tum say hay,


Janhan janhan hay meri dushmani sabab main hon,
Janhan janhan hay mera ehtram tum say hay,,!!!!!

Ye jo sakht raston pe bhi aasan safar lgta hai

Ye jo sakht raston pe bhi aasan safar lgta hai…
Ye mjh ko MAA ki duaaon ka asar lgta hai…


Aek muddat hui meri MAA nai soyi Tabish…
Mein ne ik baar kaha tha k mjhe darr lgta hai…

Tumhe Jab Kabhi Milain

Tumhe jab kabhi milain fursatain mere dil se bhoj utar do.
Main bohat dinon se udas hoon mujhe koi sham udhar do.

Mujhe apne roop ki dhop do ke chamak sakain mere khal-o-khad;
Mujhe apne rang main rang do mere sare zang utar do.

Kisi aur ko mere haal se na garz hai koi na wasta;
Main bikhr gya hoon smait lo, main bigaR gya hoon sanwar do.

Meri wehshton ko baRha dya hai jodaion ke azab ne;
Mere dil pe haath rakho zara meri daRknon ko qrar do.

Tumhe subhu kaisi lagi, kaho mere khawahshon ke dyar ki;
Jo bhali lagi to yahien raho, ise chahton se nikhar do.

Wahan ghar main kon ha muntzar ke ho fikar dair sawair ki;
BaRi mukhtsar si ye raat hai ise chandni main guzar do.

Koi baat krni ha chand se kisi shakhsar ki oot mein;
Mujhe raste main yahin kahin kisi kunj gul main utar do.

Abhi To Main Javaan Hoon

Hava bhi khushgavar hai, guloon pe bhi nikhar hai,
Taranume hazar hai, bahar purbahar hai.
Kahan chala hai saqiya, idhar to laut idhar to aa,
Arre ye dekhta hai kya, utha subu, subu utha.

Subu utha piyala bhar, piyala bhar ke de idhar,
Chaman ki simt kar nazar, samaan to dekh bekhabar.
Vo kali kali badaliyaan, ufaq pe ho gahi ayaan,
Vo ik hajoum-e-maikashaan, hai su-e-maikada ravaan,
Ye kya gumaan hai badgumaan, samajh na mujhako natavaan.
Khayal-e-zohd abhi kahaan,

Abhi to main javaan hoon.

Ibadaton ka zikr hai, nijat ki bhi fikr hai,
Junoon hai sawab ka, khayal hai azab ka.
Magar suno to Shaikh ji, ajib shai hain aap bhi,
Bhala shabab-o-aashiqi, alag hue bhi hain kabhi.

Haseen jalavarez hoon, adayein fitanakhez hoon,
Havayein itr bez hoon, to shauq kyoun na tez hoon.
Nigaraha-e-fitanagar, koi idhar, koi udhar,
Ubharate hoon aish par, to kya kare koi bashar,
Chalo ji qissa mukhtasar, tumhara nukta-e-nazar,
Durust hai to ho, magar,

Abhi to main javaan hoon.

Na gham kashood-o-bast ka, baland ka na past ka,
Na buud ka na hast ka, na vada-e-alast ka.
Umeed aur yaas gum, havas gum qayas gum,
Nazar se aas pas gum, hama bajuz gilas gum.

Na may mein kuchh kami rahe, meyqada se hamadami rahe,
Nishast ye jami rahe, yahi hamahami rahe.
Vo raag chhed mutariba, tarab-fiza alam-ruba,
Asar sada-e-saz ka, jigar mein aag de laga,
Har ik lab pe ho sada, na hath rok saqiya,
Pilaye ja pilaye ja, pilaye ja pilaye ja,

Abhi to main javaan hoon.

Ye gasht kohasar ki, ye sair juu-e-vaar ki,
Ye bulbuloon ke chahachahe, yeh gul rukhoon ke qahqahe.
Kisi se mel ho gaya, to ranj-o-fikr kho gaya,
Kabhi jo vaqt so gaya, ye hans gaya vo ro gaya.

Ye ishq ki kahaniyan, ye ras bhari javaniyan,
Udhar se meharabaniyan, idhar se lantaraniyan.
Ye asaman ye zameen, nazaraha-e dilanasheen,
Unhein hayat aafreen, bhala main chhod doon yaheen,
Hai maut is qadar qareen, mujhe na ayega yaqeen,
Nahin nahin abhi nahin, nahin nahin abhi nahin

Abhi to main javaan hoon.

Kash main tere haseen hath ka kangan hota!

Kash main tere haseen hath ka kangan hota! 
Tu bade pyar se bade chao se bade arman k sath 
Apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko 
Aur betabi se furqat k khizan lamhon mein 


Tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko 
Main tere hath ki khushbu se mahak sa jata 
Jab kabhi mood mein aa kar mujhe chuma karti 
Tere honthon ki shiddat se main dahak sa jata 


Raat ko jab bhi tu nindoon ke safar par jati 
Marmari hath ka ik takya banaya karti 
Main tere kan se lag kar keheen batain karta 
Teri zulfoon ko tere gal ko chuma karta 


Jab bhi tu band qabaa kholne lagti janan 
Apni ankhon ko tere husn se khera karta 
Mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha 
Main teri ruh k gulshan mein mahakta rehta 


Main tere jism k angan mein khanakta rahta 
Kuch nahin to yahi benam sa bandhan hota 
Kash main tere haseen hath ka kangan hota!

Gulab chehre pe muskurahat

Gulab chehre pe muskurahat
Chamakti aankhon mein shokh jazbe
Voh jab bhi college ki seidhiyon se
Saheliyon ko liye utarti 


To aise lagta tha jaise dil mein utar rahi ho 
Kuch is tayaqqun se baat karti thi jaise duniya 
Usi ki aankhon se dekhti ho 
Voh apne raste mein dil bichhati hui nigahon se hans ke kehti 


"Tumhare jaise bahut se laRkon se main yeh batain
Bahut se barson se sun rahi hoon! 
Main sahilon ki hawa hoon, 

neele samandaron ke liye bani hoon!"

Voh sahilon ki hawa si laRki
Jo rah chalti to aise lagta tha jaise dil mein utar rahi ho
Voh kal mili to is tarah thi
Chamakti aankhon mein shokh jazbe,

gulab chehre pe muskurahat

K jaise chandi pigal rahi ho
Magar jo boli to us ke lehje mein voh thakan thi k jaise sadion se dasht-e-zulmat mein chal rahi ho!

Kutch Tu Hawa Bhi Sard Thi

Kuch tu hawa bhi sard thi, kuch tha tera khiyaal bhi.
Dil ko khushi k saath saath, hota raha malaal bhi.

Baat wo aadhi raat ki, raat wo purey chand ki;
Chand bhi ain chait ka, uspe tera jamaal bhi.

Sab se nazar bacha k wo, mujh ko kuch aise dekhta;
Aik dafa tu ruk gahi gardish-e-mah-o-saal bhi.

Dil tu chamak sakey ga kia, phir bhi tarash k dekh lain;
Sheesha garan-e-shehar ke haath ka yeh kamaal bhi.

Usko na paa sakey thay jab, dil ka ajab haal tha;
Ab jo palat k dekhiye, baat thi kuch muhaal bhi.

Meri talab tha ek shaks, wo jo nahi mila tu phir;
Haath dua se yuon gira, bhool gaya sawaal bhi.

Uski sukhan taraziyan, mere liye bhi dhhal thein;
Uski hansi main chup gaya, apne ghamon ka haal bhi.

Gah-e-kareeb shahrag, gah-e-baeed wehm-o-guman;
Uski rafakaton mein raat, hijar bhi tha wasaal bhi.

Shaam ki nasamjh hawa, pooch rahi hai ek pata;
Moj-e-hawa-e-ko-e-yaar kuch tu mera khiyaal bhi.

Main Khayaal Hoon Kisi Aur Ka

Main Khayaal hoon kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai.
Sar-e-aaina mera aks hai, pas-e-aaina koi aur hai.

Main kisi ke dast-e-talab mein hoon, to kisi ke harf-e-duwa mein hoon;
Main naseeb hoon kisi aur ka, mujhe maangata koi aur hai.

Kabhi lauT aayein to na poochhna, sirf dekhna baRe Ghaur se;
Jinhein raaste mein Khabar huhi, ke yeh raasata koi aur hai.

Ajab aitbar-o-be-aitbari ke darmiyan hai zindagi;
Main qareeb hoon kisi aur ke, mujhe jaanata koi aur hai. 

Vahi munsifoon ki rivayatein, vahi faisaloon ki ibaratein;
Mera jurm to koi aur tha, par meri saza koi aur hai.

Teri roshni meri Khad-o-Khal se muKhtalif to nahi magar;
Tu qareeb aa tujhe dekh loon, tu vahi hai ya koi aur hai.

Jo meri riyazat-e-neem-shab ko 'Saleem' subh na mil saki;
To phir is ke maani to ye huhe, ke yahaan Khuda koi aur hai.

Main Nazar Se Pi Raha Hoon

Main nazar se pi raha hoon, yeh samaan badal na jaaye.
Na jhukaho tum nigaahein, kahien raat Dhal na jaaye.

Abhi raat kuch hai baqi, na uTha naqaab saqi;
Tera rind girte girte, kahien phir sanbhal na jaaye.

Meri zindagi ke maalik, mere dil pe haath rakhna;
Tere aane ki khushi mein, mera dam nikal na jaaye.

Mere ashk bhi hain is mein, yeh sharaab ubal na jaaye;
Mera jaam chhounne vaale, tera haath jal na jaaye.

Main bana to loon nasheman, kisi shaaKh-e-gulsitaan pe;
Kahien sath aashiyan ke, yeh chaman bhi jal na jaaye.

Mujhe phoonkne se pehle, mera dil nikaal lena;
Yeh kisi ki hai amaanat, mere sath jal na jaaye.

Ek Umr Se Khamosh Hain

Ek umr se Khamosh hain divar ki surat.
Yeh bhi to muhabat mein hai izhar ki surat.

Is Khauf se main band kiye baitha hoon aankhein;
Ho ghar mein mere phir na shab-e-taar ki surat.

Jaane vo kahaan dafn hohe phool se jazbe;
Ab haath bhi malte hain to talvar ki surat.

Surat hai kuch aisi ke mere charagaron se;
Dekhi nahien jaati tere beemar ki surat.

Un se to 'Asad' kuch na huwa raah-e-vafa mein;
Ab tum hi nikaalo koi Aisar ki surat.

Socha Nahien Achha Bura

Socha nahien achha bura, dekha suna kuch bhi nahien.
Maanga Khuda se raat din, tere siva kuch bhi nahien.

Dekha tujhe, socha tujhe, chaha tujhe, pooja tujhe;
Meri Khata meri wafa, teri Khata kuch bhi nahien.

Jis par hamari aankh ne, moti bichhaye raat bhar;
Bheja wahi kaaGhaz use, hamne likha kuch bhi nahien.

Ik shaam ki dah'leez par, baiThe rahe vo der tak;
Aankhon se ki baatain bahut, muonh se kaha kuch bhi nahien.

Do chaar din ki baat hai, dil Khaak mein so jaayega;
Jab aag par kaaGhaz rakha, baki bacha kuch bhi nahien.

Ahsaas ki Khushbo kahaan, aavaz ke jugno kahaan;
Khamosh yaadon ke siva, ghar mein raha kuch bhi nahien.

Saturday, 4 April 2015

Hijr Ki Raat Dhale Na Dhale

Hijr ki raat Dhale na Dhale.
le Gham-e-janaan ham to chale.

Divane ki maut na pouch;
Ahl-e-Khirad ne haath male.

Apni lagan hai apna laag;
Kaun bure aur kaun bhale.

Duniya mein daanaa hai vohi;
Jo duniya ke saath chale.

Chashm-e-tamasha ye bhi dekh;
Phool hanse aur shaaKh jale.

BichhRe huhe dukh 'Saif' hamein;
Ro ro ke milte hain gale.

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein

Kabhi kabhi mere dil mein Khayal aata hai

Ke zindagi teri zulfoon ki narm chhaahoon mein
Guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakti thi

Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar
Tere jamaal ki rahnaeyon mein kho rahta
Tera gudaz badan teri neem-baaz aankhein
Inheen haseen fasanon mein mahv ho rahta

Pukarti mujhe jab talKhiyan zamane ki
Tere labon se halavat ke ghoonT pi leta
Hayat cheekhti phirti barhana-sar, aur main
Ghaneri zulfoon ke saaye mein chhup ke ji leta

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke tu nahien, tera Gham, teri justuju bhi nahien
Guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise
Ise kisi ke sahaare ki aarzu bhi nahien

Zamane bhar ke dukhoon ko laga chuka hoon gale
Guzar raha hoon kuchh anjani rah-gaahoon se
Muheeb saaye meri simt baRhte aate hain
Hayat-o-maut ke pur-haul Kharzaroon se

Na koi jada-o-manzil na roshni ka suraGh
BhaTak rahi hai Khalahoon mein zindagi meri
Inheen Khalaoon mein rah jauonga kabhi khokar
Main janta hoon meri ham-nafas magar yoon hi

Kabhi kabhi mere dil mein Khayaal aata hai 

Ae jazba-e-dil gar main chaahoon

Ae jazba-e-dil gar main chaahoon, har cheez muqabil aa jaaye.
Manzil ke liye do gaam chaloon, aur saamne manzil aa jaaye.

Kashti ko Khuda per chhoR bhi de, kashti ka Khuda Khuda hafiz hai;
Mushkil to nahien in maujoon mein, behta huva saahil aa jaaye.

Ae dil ki lagi chal yuon hi sahi, chalata to hoon unki mahfil mein;
Us vaqt mujhe chaunka dena, jab rang pe mahfil aa jaaye.

Ae rahbar-e-kamil chalane ko, tayar to hoon par yaad rahe;
Us vaqt mujhe bhaTka dena, jab saamne manzil aa jaaye.

Haan yaad mujhe tum kar lena, aavaz mujhe tum de lena;
Is rah-e-muhabbat mein koi, darpaish jo mushkil aa jaaye.

Ab kyun DhounDhoon vo chashm-e-karam, hone de sitam bala-e-sitam;
Main chaahta hoon ai jazba-e-Gham, mushkil pas-e-mushkil aa jaaye.

Is jazba-e-dil ke bare mein, ek mashvara tum se leta hoon;
Us vaqt mujhe kya lazim hai, jab tujh pe mera dil aa jaaye.

Ae barq-e-tajalli kya tu ne, mujhko bhi Moosa samjha hai;
Main toor nahien jo jal jahoon, jo chaahe muqabil aa jaaye.

Tum Ne To Keh Diya

Tum ne to keh diya ke mohabbat nahien mili.
Mujh ko to ye bhi kehne ki mohlat nahien mili.

Neendon de dais jaatay koi Khaab dekhtay;
Lakin diya jalaanay se fursat nahien mili.

Tujh ko to Khair shehar ke logon ka Khaof tha;
Aur mujh ko apnay ghar se ijaazat nahien mili.

phir ikhtilaf-e-rahey ki surat nikal pari;
Apni yahaan kisi se bhi aadat nahien mili.

Bezaar yoon huay ke tere aihad mein hamein;
Sab kuch mila magar sukoon ki dolat nahien mili.

Dil Mein Ek Lehar Si

Dil mein ek lehar si uThi hai abhi.
Koi taza hava chali hai abhi.

Shor barpa hai Khana-e-dil mein;
Koi divar si giri hai abhi.

Kuchh to nazuk mizaj hain ham bhi;
Aur ye choT bhi nayi hai abhi.

Bhari duniya mein ji nahien lagta;
jaane kis cheez ki kami hai abhi.

Tu shareek-e-suKhan nahien hai to kya;
Ham-suKhan teri Khaamoshi hai abhi.

Yaad ke be-nishaan jazeeroon se;
Teri aavaz aa rahi hai abhi.

Shehar ki be-chiraaGh galiyoon mein;
Zindagi tujh ko DhuunDhti hai abhi.

So gaye loug us haveli ke;
Ek khiRki magar khuli hai abhi.

Tum to yaro abhi se uTh baiThe;
Shehar mein raat jagti hai abhi.

Vaqt achha bhi aayega 'Nasir';
Gham na kar zindagi paRi hai abhi.

Koi Ham-nafas Nahien Hai

Koi ham-nafas nahien hai, koi razdaan nahien hai.
Faqat ek dil tha apna, so vo mehrbaan nahien hai.

Kisi aur Gham mein itni Khalish-e-nihaan nahien hai;
Gham-e-dil mera rafiqo, Gham-e-rayegaan nahien hai.

Meri rouh ki haqeeqat mere aansuon se poochho;
Mera majlisi tabassum, mera tarjumaan nahien hai.

Kisi aankh ko sada do, kisi zulf ko pukaaro;
BaRi dhoop paR rahi hai, koi sayebaan nahien hai.

Inheen pattharoon pe chal kar agar aa sako to aao;
Mere ghar ke raaste mein koi kehkashaan nahien hai.

Aik Purani Baat

Jo bhi ghar se jata hai
Ye keh kar hi jata hai


"Dekho, mujh ko bhool na jana
Main phir lauT ke aahonga


Dil ko achhe lagne vale
Lakhoon tuhfe lahonga


Naye naye lougon ki batain
Aa kar tumhein sunahonga"


Lekin aankhein thak jati hain
Vo vapis nahien aata hai


Loug bahut hain aur vo akela
Unn mein gum ho jata hai

Baarhaa Aise Bhi Apne Dil Ko

Baarhaa aise bhi apne dil ko behlana paRa.
Sham-e-tanhahi mein yadon se lipaT jana paRa.

Har dafha pahli shana-sahiyan na yaad aayeen use;
Har dafha apna taharruf phir se karvana paRa.

Reza reza ho gaye hain aaj mere Khvaab phir;
Aaj ek patthar se phir sheeshe ko takrana paRa.

Na-rasahiyon ki thakan ne kar diya halkan phir;
Dasht se nikle to vaapis dasht mein aana paRa.

Phir bhi ham ne aql ko rahbar nahien mana 'Jaleel';
Dil ke go har faisile par hameen pachtana paRa.

Subh Ta Shaam Sochta Hoon

Subh ta shaam sochta hoon main.
Sau tere naam sochta hoon main.

Ye jo ek taza aag bhaRki hai;
Is ka anjaam sochta hoon main.

Saamne hai qalam bhi kaaGhaz bhi;
Aur paiGhaam sochta hoon main.

Tujh se is dil ka jo ta'alluq hai;
Us ka kuchh naam sochta hoon main.

Aik shaam-e-firaq Dhal bhi gayi;
Phir bhi har shaam sochta hoon main.

Kya sabab hai Gham-e-zamana ka;
La zara jaam, sochta hoon main.

Ab koi fikr hi nahien 'Baqi';
Bas tera naam sochta hoon main.

Ye Dil Ye Pagal Dil Mera

Ye dil ye pagal dil mera, kyon bujh gaya aavargi.
Is dasht mein ek shehar tha, vo kya huwa aavargi.

Kal shab mujhe be-shakl si aavaz ne chaunka diya;
Main ne kaha tu kaun hai, us ne kaha aavargi.

Ek tu ke sadiyon se mera, ham-rah bhi, ham-raz bhi;
ek main ke tere naam se, na-aashna aavargi.

Ye dard ki tanhaiyan, ye dasht ka viran safar;
Ham loug to ukta gaye, apni suna aavargi.

Ek ajnabi jhonke ne jab, poochha mere Gham ka sabab;
Sehra ki bheegi reit par, main ne likha aavargi.

Logo bhala us shehar mein, kaise jiyenge ham jahan;
Ho jurm tanha sochna, lekin saza aavargi.

Le ab to dasht-e-shab ki sari wusatain sone lageen;
Ab jagna hoga hamein kab tak bata aavargi.

Kal raat tanha chaand ko dekha tha main ne Khvab mein
'Mohsin' mujhe raas aayegi shaayad sada aavargi.

Husn Ko Be-hijab Hona Tha

Husn ko be-hijab hona tha.
Shauq ko kamyab hona tha.

Hijr mein kaif-e-iztirab na pooch;
Khoon-e-dil bhi sharab hona tha.

Tere jalvon mein ghir gaya aKhir;
Zarre ko aftab hona tha.

Kuch tumhari nigaah kafir thi;
Kuch mujhe bhi Kharab hona tha.

Raat taron ka TooTna bhi 'Majaz';
Ba'ais-e-iztirab hona tha.

ChiraGh-e-tur jalao baRa andhera hai

ChiraGh-e-tur jalao baRa andhera hai.
Zara naqab uthao baRa andhera hai.

Mujhe Khud apni nigahon pe aitmad nahien;
Mere kareeb na aao baRa andhera hai.

Vo jin ke hote hai Khurshid aasteenon mein;
Unhein kahien se bulao baRa andhera hai.

Abhi to subh ke maathe ka rang kala hai;
Abhi fareb na khao, baRa andhera hai.

Sunte Hain Phir

Sunte hain phir chup chup unke ghar mein aate jate ho.
Insha sahab na'haq ji ko vahshat mein uljhate ho.

Dil ki baat chhupani mushkil,lekin Khoob chhupate ho;
Ban mein danaa,shehar ke andar divane kehlate ho.

Bekal bekal rahte ho, par mehfil ke aadab ke saath;
Aankh chura kar dekh bhi lete ho, bhole bhi ban jate ho.

Peet mein aise lakh jatan hain, lekin ek din sab nakam;
Aap jahan mein rusva ho ke, vaaz hamein farmate ho.

Ham se naam junoon ka qaim, ham se dasht ki abadi;
Ham se dard ka shikva karte, ham ko zakhm dikhate ho.

Kis Qayamat Ki Ghata Chhayi

Kis qayamat ki ghaTa chhayi hai.
Dil ki har choT ubhar aayi hai.

Dard badnaam, tamanna rusva;
Ishq rusvaai hi rusvaai hai.

Us ne phir yaad kiya hai shaayad;
Dil dhaRakne ki sada aayi hai.

Zulf-o-ruKhsar ka manzar tauba;
Shaam aur subh ki yakjaai hai.

Ham se chhup chhup ke sanvarne vaale;
Chashm-e-aaina tamashai hai.

Dil tamanna se hai kitna bezaar;
Thokarein kha ke samajh aayi hai.

Tum se 'Mahir' ko nahien koi gila;
Us ne qismat hi buri paayi hai.

Hasti Apni Hubaat Ki Si Hai

Hasti apni Hubaab ki si hai.
Ye numa'ish suraab ki si hai.

Naazuki us ke lab ki kya kahiye;
PankhaRi ik gulaab ki si hai.

Baar baar us ke dar pe jaata hoon;
Haalat ab iztiraab ki si hai.

Main jo bola kaha ke ye awaz;
Usi Khaana Kharaab ki si hai.

'Mir' un neem-baaz aankhon mein;
Saari masti sharaab ki si hai.

Ashk Ankhon Mein Kab Nahien

Ashk ankhon mein kab nahien ata.
Lahu ata hai jab nahien ata.

Hosh jata nahien raha lekin;
Jab wo ata hai tab nahien ata.

Dil se rukhsat hui koi khwahish;
Girya kuch be-sabab nahien ata.

Ishq ka hausala hai shart warna;
Baat ka kis ko dhab nahien ata.

Ji mein kya kya hai apne ae hamdam;
Har sukhan ta ba-lab nahien ata.

Sab maya hai , sab dhalti phirti chaya hai

Sab maya hai , sab dhalti phirti chaya hai
Is ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
Jo tum nay kaha hai, Faiz nay jo farmaya hai

Sab maya hai

Haan gahay gahay deed ke doulat haath aayi
Ye aik woh lazat naam hai jis ka ruswayi
Bas us kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai

Sab maya hai

Ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan nahien 
Jab daikh liya is sooday mein nuqsaan nahien
Tab shama pay dainay jaan patanga aaya hai

Sab maya hai

Maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi
Sab aik say hain, yeah Ranjha bhi, yeh Insha bhi
Farhad bhi jo ik nahar si khood kay laya hai

Sab maya hai

Kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoon
Jis saat samandar par ke naar ke baat karoon
Us naar say koi aik nay dhoka khaya hai?

Sab maya hai

Jis goori pay hum aik ghazal har shaam likhain
Tum jantay ho, hum kiyonkar us ka naam likhain
Dil us ke chookhat chom kay wapis aaya hai

Sab maya hai

Woh larki bhi jo chaand nagar ki raani thi
Woh jis ke alhaar ankhoon mein hayraani thi
Aa us nay bhi pay'ghaam yeehi bhijwaya hai

Sab maya hai

Jo loug abhi tak naam wafa ka laytay hain
Woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain
Haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai

Sab maya hai

Jab daikh liya har shakhas yahaan harjayi hai
Is shehar say door aik kutiya hum nay banayi hai
Aur us kutiya kay maathay pay likhwaya hai

Sab maya hai

Tu Mera Naam Na Poocha Kar

Tu mera naam na poocha kar
Main teri zaat ka hissa hoon

Main teri soch main shamil hoon
Main teri neend ka qissa hoon

Main terey khwab ka haasil hoon
Main teri yaad ka mehwar hoon

Main teri saans ka jhonka hoon
Tu manzar, main pas manzar hoon

Main lamha hoon, main jazba hoon
Jazbey ka koi naam nahien

Roshni mizajon ka kiya ajab muqadder hai

Roshni mizajon ka kiya ajab muqadder hai 
Zindagi ke rastey mein bichney waley kanton ko 
Rah sey hataney mein 
Aik aik tinkey sey ashiyan bananey mein 


Khushboain bakerney mein 
Gulistan sajaney mein 
Umer kat detain hain 
Or apney hisey ke phool bant detain hain 


Kaisi kaisi khwaishon ko qatal kertey jatey hain 
Derguzer ke gulshan mein aber ban k rehtein hain 
Saber ke samunder mein kashtian chalatey hain 

Yeh nahien ke in ko roz-o-shab ki kawish ka 
Kuch sila nahien milta 
Merney wali ahon ka khoon baha nahien milta 
Zindagi ke daman mein jis qadar bhi khushian hain 


Sab hi hath atien hai 
Sab hi mil bhi jatien hain 
Waqt per nahien miltien 
Waqt per nahien atien 


Yani un ko mehnat ka ajer mil to jata hai 
Lakin is tarah jaisey 
Qerz ki koi reqm qist qist ho jaey 
Asal jo ibarat ho pass-e-nawisht ho jaey 


Fasl-e-gul k akhir mein phool un ke khiltey hain 
Jin ke sehn mein soorej dair sey nikaltey hain