Ye Mehar-O-Mah, Ye
Sitare Ye Asman-E-Kubood
Kise Khabar Ke Ye
Alam Addam Hai Ya Ke Wujood
Khiyal-E-Jadah-O-Manzil
Fasana-O-Afsoun
Ke Zindagi Hai Sarapa
Raheel-E-Be-Maqsood
Rahi Na Aah, Zamane
Ke Hath Se Baqi
Vo Yaadgar-E-Kamalaat
-E-Ahmad-O-Mehmood
Zawal-E-Ilm-O-Hunar
Marg-E-Naaghan Uss Ki
Woh Karwan Ka
Mataa-E-Garan Bha Masood !
Mujhe Rulati Hai
Ahl-E-Jahan Ki Baydardi
Faghan-E-Mugh-E-Sehar
Khawan Ko Jante Hain Surood
Na Keh Ke Sabr Mein
Pinhan Hai Chara’ay Gham-e-Dost
Na Keh Ke Sabr
Mu’amaye Mout Ki Hai Kushood
"Dile Ke Ashiq
Wa Sabir Bood Magar Sang Ast
Za Ishq Ta Ba Saboori
Hazar Farsang Ast" (Sadi)
Na Mujh Se Pooch Ke
Umer-E-Garaiz Pa Kiya Hai
Kise Khabar Ke Ye
Neerang-O-Seemiya Kya Hai
Huwa Jo Khak Se
Paida, Vo Khak Mein Mastoor
Magar Ye Ghaibat-E-Sughra
Hai Ya Fana, Kya Hai !
Ghubar-E-Rah Ko
Bakhsha Gya Hai Zauq-E-Jamal
Khirad Bata Nahin
Sakti Ke Muddaa Kya Hai
Dil-O-Nazar Bhi Issi
Aab-O-Gil Ke Hain Ijaz
Nahin To
Hazrat-E-Insan Ki Intiha Kya Hai?
Jahan Ki Rooh-E-Rawan
‘LA ILAHA ILLA HOO’
Masih-O-Meekh-O-Chalipa,
Ye Majra Kya Hai !
Qasas Khoon-E-Tammana
Ka Mangiye Kis Se
Gunahgar Hai Kon, Aur
Khoon Baha Kya Hai
Ghameen Masho Ke Ba
Band-E-Jahan Gariftarem
Talism Ha Shikand Aan
Dile Ke Ma Darem
Khudi Hai Zinda To
Hai Mout Ek Maqam-E-Hayat
Ke Ishq Mout Se Karta
Hai Imtihan-E-Sabaat
Khudi Hai Zinda To
Darya Hai Be-Karana Tera
Tere Firaq Mein
Muztir Hai Mouj-E-Neel-O-Firat
Khudi Hai Murda To
Manind-E-Kah Paish-E-Naseem
Khudi Hai Zinda To
Sultan-E-Jumla Moujoodat
Nigah Aik Tajalli Se
Hai Agar Mehroom
Dou Sad Hazar Tajalli
Talafi-E-Mafaat
Maqam Banda’ay Momin
Ka Hai Wara’ay Sipihr
Zameen Se Ta Ba
Surreya Tamam Laat-O-Manaat
Hareem-E-Zaat Hai Iss
Ka Nasheman-e-Abdi
Na Tera Khak-E-Lehad
Hai, Na Jalwagah-E-Sifaat
Khud Aa-Gahan Ke
Azeen Khakdan Baron Jastand
Tilism
Mehar-O-Sipihr-O-Sitara Bashkastand