Tuesday 11 November 2014

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahin imkan janan

ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaaN jaana
yaad kya tujhko dilaaein tera paymaaN jaana
yunhi mosam ki ada daikh k yaad aaya hai
kis qadar jald badal jaatay hein insaaN jaana
zindagi teri ataa thi so tere naam ki hai
hum ne jaisi bhi basar ki tera ehsaaN jaana
dil ye kehta hai k shaayad ho fasurda tu bhi
dil ki kya baat karein, dil to hai naadaaN jaana
awwal awwal ki muhabbat k nashay yaad to kar
be-piye bhi tera chehra tha gulistaaN jaana
aakhir aakhir to ye aalam hai k ab hosh nahi
rag-e-meena sulag uthi k rag-e-jaaN jaana
muddaton se yehi aalam, na tavaqqo na umeed
dil pukaaray hi chala jaata hai “jaana jaana”
hum bhi kya saada thay, hum ne bhi samajh rakha tha
gham-e-doraaN se juda hai Gham-e-jaana jaana
ab k kuch aesi saji mehfil-e-yaaraN jaana
sar-ba-zaanu hai koi sar-ba-girebaaN jaana
har koi apni hi awaaz se kaanp uthta hai
har koi apnay hi saaey se hiraasaN jaana
jis ko dekho wohi zanjeer-ba-pa lagata hai
shehr ka shehr hua daaKhil-e-zindaaN jaana
ab tera zikr bhi shaayad hi Gazal mein aaye
aur se aur hua dard ka unvaaN jaana
hum k roothi hui rut ko bhi mana lete thay
hum ne dekha hi na tha mosam-e-hijraaN jaana
hosh aaya to sabhii Khwaab thay reza reza
jaisay urtay huay auraaq-e-pareshaaN jaana

No comments:

Post a Comment