Wohi ishaq jo tha kabhi junon usy rozgaar bna dia
Kahen zakham bech ke aa gaye kahen shaar koi suna dia
Wohi hum keh jin ko aziz thi dar-e-aabroo ki chamak damak
Yehi hum keh roz-e-siyah mein zar-e-dagh dil bhi luta dia
Kabhi yon bhi tha keh hazar teer jigr mein the to dukhi nah the
Magr ab yeh hai kisi mehrban ke tapaak ne bhi rula dia
Kabhi khud ko lootty phootty kabhi dekhty to huzeen nah the
Magr aaj khud pe nazar pari to shakist-e-jaan ne hila dia
Koi nama dilbar shehr ka keh ghazal gari ka bahana ho
Wohi harf dil jisy mudaton se hum ehl-e-dil ne bhula dia
No comments:
Post a Comment