Mery ajnabi mery aashna
Tu musir k aaina khany mein
Tiry khal-o-khad ke siwa mujhy
Kahen aor kuch nah dikhai de
yeh azaab-e-tauq-o-rasan mira
Kisi qasr-e-khwab-o-khyal tak
Mery zehn ko nah rasai day
Mujhy rasta na sujhai de
To yeh chat jo apny saron pe hai
Yeh jo baam-o-dar ke hisaar hein
Yeh jo rat jagon ki bahar hai
Yeh jo qurbaton ka khumaar hai
To isi pe kya shab-e-omr ki
sabhi rahton ka madaar hai?
Mery ajnabi mery aashna
Keh dhooan dhooan si jo hai fiza
Yeh thami thami si jo hai hawa
Yeh jo shor hai dil-e-zaar ka
Kabhi is pe ghor kia hai kya
Mery ajnabi mery aashna
Kabhi kash tujh se main keh sakon
Keh yeh saaten hein kathan bahot
Miry zakhm-e-jaan ke tabeeb aa
Miry tan badan se bhi rabta rakh
Miri rooh k bhi qareeb aa
Mery ajnabi mery aashna