Thursday, 27 February 2014

Din Guzar Gaya, Aitbaar Mein,

Din Guzar Gaya, Aitbaar Mein,
Raat Kat Gayi Intezaar Mein,

Wo Maza Kahan Wasl-e-Yaar Mein,
Lutf Jo Milaa Intezaar Mein,

Unki Ik Nazar Kaam Kar Gayi,
Hosh Ab Kahan Hoshiyar Mein,

Mere Qabzay Mein Kainaat To Hai,
Main Hoon Aap Ke Ikhtiyaar Mein,

Aankh To Uthee Phool Ki Taraf,
Dil Ulajh Gaya Husn-e-Khaar Mein,

Tum Se Kya Kehein, Kitnay Gham Sehein,
Ham Nay Be-wafa Tere Pyaar Mein,

Fikr-e-Aashiyaan Har Khizaan Ki,
Aashiyaan Jalaa Har Bahaar Mein,

Kis Tarah Ye Gham Bhool Jaaye Hum,
Wo Juda Hua Ishtihaar Mein ...

Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,

Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,
Koi Apna Bana K Dagha De Gaya,


Mujh Se Jeene Ka Haq Chheen Kar,
Zindagi Ki Dua De Gaya,

Be_Wafa Ne Tor Di Jab Pyar Ki Pehli Qasam,
Us Ki Zulfein Theen Pareshaan, Meri Bhi Aankhein Theen Nam,


Waqt-e- Rukhsat Be_wafa Ne Mujh Pay Ye Dhaaya Sitam.
Aik Tasweer K Us Ne Tukre Kiye, Meri Soorat Ka Hissa Mujhe De Gaya,

Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,
Koi Apna Bana K Dagha De Gaya,

Waqt K Be_Reham Haathon Say Luti Jaageer Thi,
Main Ne Jab Dekha Use To, Wo Meri Tasweer Thi,


Us Nay Mujh Ko Jo Diya Hai Wo Meri Taqdeer Thi,
Tohfe Ghairon Ko Us Ne Wafa K Diye,


Be_Wafai Ka Qissa Mujhe De Gaya,
Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,


Koi Apna Bana K Dagha De Gaya,
Kaash Hum Bhi Ishq Ki Yoon Tohmaton Se Khailte


Apni Ye Qismat Kahan K Gaisu'on Se Khailte,
Dil_Jalon Ko Main Ne Dekha Aansu'on Se Khailte,


Apna Sab Kuch Ganwa K Main Rota Raha,
Koi Chahat Ka Acha Sila De Gaya,

Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,
Koi Apna Bana K Dagha De Gaya,

Aik Din Us Be_Wafa Se Main Ne Milne Ko Kaha,
Ik Nazar Dekha Mujhe To Kar Li Phir Neechi Nigaah,


Main Nay Poocha, Us Ne "SADIQ" Muskura K Ye Kaha,
Ab k Bichhre Milein Ge Hashar Mein Sabhi,


Wo Hashar Ka Dilasa Mujhe De Gaya,
Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,


Koi Apna Bana K Dagha De Gaya,
Mujh Se Jeene Ka Haq Chheen Kar,


Zindagi Ki Dua De Gaya ...

Aur to koi bas na chale ga hijr k dard k maaron ka,

Aur to koi bas na chale ga hijr k dard k maaron ka,
subha ka hona dobhar kar dein rasta rok sitaron ka,

jhuthe sikon mein bhi utha dete hain aksar sacha mal,
shaklein dekh k sauda karna kam hai in banjaron ka,

apni zuban se kuch na kahein ge chup hi rahein ge ashiq log,
tum se to itna ho sakta hai poocho haal bechaaron ka,

ek zara si baat thi jis ka charcha pohncha gali gali,
hum gum-naamon ne phir bhi ehsan na mana yaaron ka,

dard ka khna chikh utho dil ka taqaza waza nibhao,
sab kuchh sehna chup chup rahna kam hai izzatdaron ka ...

Balaa Se Hain Jo Ye Pais_E_Nazar Dar_O_Diwaar

Balaa Se Hain Jo Ye Pais_E_Nazar Dar_O_Diwaar
Nigah_E_Shoq Ko Hain Baal_O_Per Dar_O_Diwaar

Wufoor_E_Ashk Nay Kaashaana Kaa Kya Ye Rang
K Ho Ga'ey Mere Deewaar_O_Dar, Dar_O_Diwaar

Nahi Hai Saaya K Sun Kr Naveed_E_Maqdam_E_Yaar
Ga'ey Hian Chand Qadam Paister Dar_O_Diwaar

Hoi Kis Qadar Arzaani_E_May_E_Jalwa
K Mast Hai Tere Koocha Mein Her Dar_O_Diwaar

Jo Hai Tujhay Sir_E_Sodaa_E_Intizaar To Aa
K Hain Dukaan_E_Mataa_E_Nazar Dar_O_Diwaar

Wo Aa Raha Hai Mere Humsaaye Mein To Saaya Se
Huway Fidaa Dar_O_Deewaar Per Dar_O_Diwaar

Nazar Men Khatkay Hai Bin Tere Ghar Ki Aabaadi
Hamesha Rotay Hain Hum Dekh Kr Dar_O_Diwaar

Hujoom_E_Giriya Ka Saamaan Kb Kiya Menay
K Gir Paray Na Mere Paaon Per Dar_O_Diwaar

Na Puch Be_Khudi_E_Aish Maqdam_E_Sailaab
K Naachtay Hain Paray Sir_Basir Dar_O_Diwaar

Na Keh Kisi Se K Ghalib Nahi Zamaana Men
Hareef_E_Raaz_E_Mohabbat Mager Dar_O_Diwaar...

Phir Is Andaaz Se Bahaar Aai,

Phir Is Andaaz Se Bahaar Aai,
K Huye Mehar-O-Maah Tamashai,

Dekho Ai Sakinaan-E-Khitta-E-Khaak,
Is Ko Kahte Hain Aalam-Aaraai,

Ke Zamin Ho Gai Hai Sar Taa Sar,
Rukash-E-Satahe Charkhe Minaai,

Sabze Ko Jab Kahin Jagah Na Mili,
Ban Gaya Ru-E-Aab Par Kaai,

Sabz-O-Gul Ke Dekhne Ke Liye,
Chashm-E-Nargis Ko Di Hai Binaai,

Hai Hawa Main Sharaab Ki Taaseer,
Badanoshi Hai Baad Paimaai,

Kyun Na Duniya Ko Ho Khushi "Ghalib"
Shaah-E-Deendaar Ne Shifaa Pai .

Phir Kuch Is Dil Ko Beqarari Hai,

Phir Kuch Is Dil Ko Beqarari Hai,
Seena Zoya-E-Zakhm-E-Kaari Hai,

Phir Jigar Khodne Laga Naakhun,
Aamad-E-Fasl-E-Lalkaari Hai,

Qibla-E-Maqsad-E-Nigaah-E-Niyaaz,
Phir Vahi Pardaa-E-Ammari Hai,

Chashm-E-Dallal-E-Jins-E-Rusvaai,
Dil Kharidaar-E-Zauq-E-Khvaari Hai,

Vahi Sadrang Naala Farsaai,
Vahi Sadguna Ashqbaari Hai,

Dil Hawa-E-Khiraam-E-Naaz Se Phir,
Mahashristaa-E-Beqaraari Hai,

Jalwaa Phir Arz-E-Naaz Karta Hai,
Roz-E-Bazaar-E-Jaan Supaari Hai,

Phir Usi Bewafa Pe Marte Hain,
Phir Vahi Zindegi Hamaari Hai,

Phir Khula Hai Dar-E-Adalat-E-Naaz,
Garm Bazaar-E-Faujdaari Hai,

Ho Raha Hai Jahaan Main Andher,
Zulf Ki Phir Sarishtadaari Hai,

Phir Diya Paara-E-Jigar Ne Sawaal,
Ek Fariyaad-O-Aah-O-Zaari Hai,

Phir Hue Hain Gawaah-E-Ishq Talab,
Ashqbaari Ka Hukmzaari Hai,

Dil-O-Mizshgaan Ka Jo Muqadma Tha,
Aaj Phir Us Ki Rubqaari Hai,

Bekhudi Besabab Nahin 'Ghalib'
Kuch To Hai Jis Ki Pardadaari Hai ...

Phir Mujhe Deeda-E-Tar Yaad Aaya,

Phir Mujhe Deeda-E-Tar Yaad Aaya,
Dil Jigar Tashna-E-Fariyaad Aaya,

Dam Liya Tha Na Qayamat Ne Hanoz,
Phir Tera Waqt-E-Safar Yaad Aaya,

Saadgi Haaye Tamanna Yaani,
Phir Wo Nai Rang-E-Nazar Yaad Aaya,

Uzr-E-Vaamandgi Ae Hasrat-E-Dil,
Naala Karta Tha Jigar Yaad Aaya,

Zindegi Yun Bhi Guzar Hi Jaati,
Kyun Tera Rahguzar Yaad Aaya,

Kya Hi Rizwaan Se Ladaai Hogi,
Ghar Tera Khuld Main Gar Yaad Aaya,

Aah Wo Jurrat-E-Fariyaad Kahaan,
Dil Se Tang Aake Jigar Yaad Aaya,

Phir Tere Kuche Ko Jaata Hai Khayaal,
Dil-E-Gum Gashta Magar Yaad Aaya,

Koi Veeraani-Si-Veeraani Hai,
Dasht Ko Dekh Ke Ghar Yaad Aaya,

Main Ne Majnu Pe Ladakpan Main 'Asad'
Sang Uthaya Tha Ke Sar Yaad Aaya ...

Ronay Say Aur Ishq Main Bebaak Ho Gaye,

Ronay Say Aur Ishq Main Bebaak Ho Gaye,
Dhoye Gaye Hum Aise Ki Bas Paak Ho Gaye,

Sarf-E-Baha-E-Mai Hue Aalat-E-Maikashi
The Ye Hi Do Hisaab So Yon Paak Ho Gaye

Rusva-E-Dahar Go Hue Aavargi Se Tum
Baare Tabiyaton Ke To Chalaak Ho Gaye

Kehta Hai Kaun Nalaa-E-Bulbul Ko Be-asar
Parde Main Gul Ke Laakh Jigar Chaak Ho Gaye

Pooche Hai Kya Wajood-O-Adam Ahl-E-Shauq Ka
Aap Apni Aag Se Khas-O-Khaashak Ho Gaye

Karne Gaye The Us Se Tagaaful Ka Ham Gila
Ki Ek Hi Nigaah Ki Bas Khaak Ho Gaye

Is Rang Se Uthai Kal Us Ne 'Asad' Ki Naash
Dushman Bhi Jis Ko Dekh Ke Gamnaak Ho Gaye ...

Saadgi Par Us Ki Mar Jaane Ki Hasrat Dil Main Hai,

Saadgi Par Us Ki Mar Jaane Ki Hasrat Dil Main Hai,
Bas Nahi Chalta Ki Phir Khanjar Kaf-E-Qaatil Main Hai,

Dekhna Taqreer Ki Lazzat Ki Jo Usne Kaha,
Main Ne Ye Jaana K Goya Ye Bhi Mere Dil Main Hai,

Garche Hai Kis Kis Burai Se Wale Baa Iin Hama,
Zikr Mera Mujh Se Behtar Hai Ki Us Mehfil Main Hai,

Bas Hujoom-E-Na Umidi Khaak Main Mil Jaye Gi,
Ye Jo Ik Lazzat Hamari Sai-E-Behaasil Main Hai,

Ranj-E-Rah Kyun Khenchiye Vaamandagi Ko Ishq Hai
Uth Nahi Sakta Hamaara Jo Qadam Manzil Main Hai,

Jalwa Zaar-E-Aatash-E-Dozakh Hamaara Dil Sahi,
Fitna-E-Shor-E-Qayamat Kis Ki Aab-O-Gil Main Hai,

Hai Dil-E-Shoridaa-E-Ghalib Tilism-E-Pech-O-Taab,
Raham Kar Apni Tamanna Par Ki Kis Mushkil Main Hai 

Sar-Gashtagi Main Aalam-E-Hasti Se Yaas Hai

Sar-Gashtagi Main Aalam-E-Hasti Se Yaas Hai,
Taskeen Ko De Naveed Ke Marne Ki Aas Hai,

Leta Nahi Mere Dil-E-Aawara Ki Khabar,
Ab Tak Wo Jaanta Hai Ke Mere Hi Paas Hai,

Kije Bayaan Suroor-E-Tap-E-Gham Kahaan Talak,
Har Mu Mere Badan Pe Zabaan-E-Sipaas Hai,

Hai Wo Guroor-E-Husn Se Begana-E-Wafa,
Har-Chand Us Ke Paas Dil-E-Haq-Shanaas Hai,

Pi Jis Qadar Mile Shab-E-Mahtab Main Sharaab,
Is Balgami Mizaaj Ko Garmi Hi Raas Hai,

Har Yak Makaan Ko Hai Makeen Se Sharaf "Asad"
Majnu Jo Mar Gaya Hai To Jungal Udaas Hai !

Shoq Har Rang Raqeeb-E-Sar-O-Samaan Nikla,

Shoq Har Rang Raqeeb-E-Sar-O-Samaan Nikla,
Qais Tasweer Ke Parde Main Bhi Uriyaan Nikla,

Zakhm Ne Daad Na Di Tangi-E-Dil Ki Ya Rab,
Teer Bhi Seena-E-Bismil Se Par Afshaan Nikla,

Bu-E-Gul Naala-E-Dil Dud-E-Charaag-E-Mehfil,
Jo Teri Bazm Se Nikla So Parishaan Nikla,

Dil-E-Hasrat Zada Tha Maaida-E-Lazzat-E-Dard,
Kaam Yaaron Ka Ba-Qadar-E-Lab-O-Dandaan Nikla,

Thi Nauaamoz-E-Fana Himmat-E-Dushwaar Pasand,
Sakht Mushkil Hai Ki Ye Kaam Bhi Aasaan Nikla,

Dil Main Phir Giriya Ne Ik Shor Uthaya 'Ghalib'
Aah Jo Qatra Na Nikla Tha So Tufaan Nikla ...

Shikway K Naam Se Bemehar Khafa Hota Hai

Shikway K Naam Se Bemehar Khafa Hota Hai
Ye Bhi Mat Kah Ke Jo Kahiye To Gila Hota Hai,

Pur Hoon Main Shikve Se Yun Raag Se Jaise Baaja,
Ik Zara Chheriye Phir Dekhiye Kya Hota Hai,

Go Samajhta Nahi Par Husn-Talaafi Dekho,
Shikwa-E-Jaur Se Sar-Garm-E-Jafa Hota Hai,

Ishq Ki Raah Mein Hai Charkh-E-Makaukab Ki Wo Chaal
Sust-Rau Jaise Koi Aablaapa Hota Hai,

Kiyun Na Thahare Hadaf-E-Naavak-E-Bedaad Ke Hum,
Aap Utha Laate Hain Gar Teer Khata Hota Hai,

Khoob Tha, Pehle Se Hote Jo Hum Apne Bad-Khwaah,
Ke Bhala Chaahte Han Aur Bura Hota Hai,

Naala Jaata Tha Pare Arsh Se Mera Aur Ab,
Lab Tak Aata Hai, Jo Aisa Hi Rasaa Hota Hai ...

Tu Dost Kisi Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha,

Tu Dost Kisi Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha,
Auron Pe Hai Vo Zulm Ki Mujh Par Na Hua Tha,

Chhora Mah-E-Nakhshab Ki Tarah Dast-E-Qazaa Ne,
Khursheed Hanoz Us Ke Barabar Na Hua Tha,

Taufeeq Ba Andaaz-E-Himmat Hai Azal Se,
Aankhon Mein Hai Wo Qatra Ki Gauhar Na Hua Tha,

Jab Tak Ki Na Dekha Tha Qad-E-Yaar Ka Aalam,
Main Motaqid-E-Fitna-E-Mahshar Na Hua Tha,

Main Saada Dil Aazurdagi-E-Yaar Se Khush Hoon.
Yaani Sabaq-E-Shauq Mukarrar Na Hua Tha,

Dariya-E-Masi Tunuk Abhi Se Hua Khushk,
Mera Sar-E-Daaman Bhi Abhi Tar Na Hua Tha,

Jaari Thi Asad Daag-E-Jigar Se Mere Tahsil,
Aatash Qada Jaagir-E-Samandar Na Hua Tha ...

Wo Aa Ke Khuwab Mein Taskeen-E-Iztiraab To De

Wo Aa Ke Khuwab Mein Taskeen-E-Iztiraab To De,
Wale Mujhe Tapish-E-Dil Majaal-E-Khuwab To De,

Kare Hai Qatal Lagawat Mein Tera Ro Dena,
Teri Tarah Koi Teg-E-Nigaah Ko Aab To De,

Dikha Ke Jumbish-E-Lab Hi Tamaam Kar Ham Ko,
Na De Jo Bosa To Moonh Se Kaheen Jawaab To De,

Pilaa De Oak Se Saaqi Jo Ham Se Nafrat Hai,
Piyala Gar Nahi Deta, Na De, Sharaab To De,

'Asad' Khushi Se Mere Haath Paoon Phool Gaye,
Kaha Jo Us Ne Zaraa Mere Paoon Daab To De ...

Na Ho Ga Yak Bayabaan Maandagi Se Zauq Kam Mera

Na Ho Ga Yak Bayabaan Maandagi Se Zauq Kam Mera,
Hubaab-E-Mauj-E-Raftaar Hai, Naqsh-E-Qadam Mera,

Mohabbat Thi Chaman Se, Lekin Ab Ye Be-dimaagi Hai,
Ke Mauj-E-Bu-E-Gul Se Naak Main Aata Hai Dam Mera ...

Zikr Us Pariwash Ka, Aur Phir Bayaan Apna,

Zikr Us Pariwash Ka, Aur Phir Bayaan Apna,
Ban Gaya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna,

May Wo Kiyun Bohst Peete Bazm-E-Gair Main Yaa-Rab,
Aaj Hi Hua Manzoor Un Ko Imtihaan Apna,

Manzar Ik Bulandi Par Aur Ham Bana Sakte,
Arsh Se Idhar Hota Kaash Ke Makaan Apna,

De Wo Jis Qadar Zillat Hum Hansi Mein Taalein Ge,
Bare Aashna Nikla Unka Paasbaan Apna,

Dard-E-Dil Likhoon Kab Tak? Jaaun Un Ko Dikhla Doon,
Ungliyaan Figaar Apni Khaamakhoon Chakaan Apna,

Ghiste Ghiste Mit Jaata Aap Ne Abas Badla,
Nang-E-Sajda Se Mere Sang-E-Aastaan Apna,

Ta Kare Na Gamaazi, Kar Liya Hai Dushman Ko,
Dost Ki Shikayat Main Ham Ne Ham-Zabaan Apna,

Ham Kahaan Ke Daana The Kis Hunar Mein Yakta The,
Be-Sabab Hua 'Ghalib' Dushman Aasmaan Apna ...

Zulmat Kaday Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai

Zulmat Kaday Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai,
Ik Shamma Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai,

Na Muzda-E-Wisaal Na Nazaara-E-Jamaal,
Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai,

May Ne Kiya Hai Husn-E-Khudaara Ko Be-Hijaab,
Ay Shauq Yaan Ijazat-E-Taslim-E-Hosh Hai,

Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Main Dekhna,
Kya Auj Par Sitara-E-Gauhar-Farosh Hai,

Deedar, Wada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast,
Bazm-E-Khayaal Maikada-E-Be Kharosh Hai,

Ay Taaza Waaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil,
Zinhaar Gar Tumhein Hawas-E-Na-O-Nosh Hai,

Dekho Mujhe Jo Deeda-E-Ibarat Nigaah Ho,
Meri Suno Jo Gosh-E-Nasihat Niyosh Hai,

Saaqi Ba Jalwa Dushman-E-Imaan-O-Aagahi,
Mutarib Banagma Rahzan-E-Tamkin-O-Hosh Hai,

Ya Shab Ko Dekhte The Ki Har Gosha-E-Bisaat,
Daaman-E-Baagbaan-O-Kaf-E-Gul-Farosh Hai,

Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang,
Ye Jannat-E-Nigaah Wo Firdaus-E-Gosh Hai,

Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aa Kar To Bazm Mein,
Naa Wo Suroor-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai,

Daag-E-Firaaq-E-Sohbat-E-Shab Ki Jali Hui,
Ik Shamma Rah Gai Hai So Wo Bhi Khamosh Hai,

Aate Hain Gaib Se Ye Mazmin Khayaal Mein,
'Ghalib', Sarir-E-Khaama Nawaa-E-Sarosh Hai ...

Hui Taakheer To Kuch Baais-E-Taakheer Bhi Tha

Hui Taakheer To Kuch Baais-E-Taakheer Bhi Tha,
Aap Aate The Magar Koi Inaangeer Na Tha,

Tum Se Beja Hai Mujhe Apni Tabaahi Ka Gila,
Us Main Kuch Shaaib-E-Khoobi-E-Taqdeer Bhi Tha,

Tu Mujhe Bhool Gaya Ho To Pata Batlaa Doon,
Kabhi Fitraak Main Tere Koi Nakhcheer Bhi Tha,

Qaid Main Hai Tere Wehshi Ko Wohi Zulf Ki Yaad,
Haan Kuch Ek Ranj-E-Garaanbaari-E-Zanjeer Bhi Tha,

Bijli Kaund Gai Aankhon Ke Aage, To Kya,
Baat Karte, Ke Main Lab Tashna-E-Taqreer Bhi Tha,

Yousuf Us Ko Kahoon Aur Kuch Na Kahe, Khair Hui,
Gar Bigar Baithe To Main Layaq-E-Tazeer Bhi Tha,

Dekh Kar Gair Ko Kyun Ho Na Kaleja Thanda,
Naala Karta Tha Wale Taalib-E-Taaseer Bhi Tha,

Peshe Main Aib Nahi, Rakhiye Na Farhaad Ko Naam,
Hum Hi Aashuftaa-Saron Main Wo Jawaan 'Meer' Bhi Tha,

Hum The Marne Ko Khare Paas Na Aaya Na Sahi,
Aakhir Us Shaukh Ke Tarkash Main Koi Teer Bhi Tha,

Pakre Jaate Hain Farishton Ke Likhe Par Naahaq.
Aadmi Koi Hamaara Dam-E-Tahreer Bhi Tha,

Rekhta Ke Tumheen Ustaad Nahi Ho "Ghalib",
Kahte Hain Agle Zamaane Main Koi 'Meer' Bhi Tha ...

Hawas ko hai nishat e kar kya kya

Hawas ko hai nishat e kar kya kya,
Na ho marna to jeene ka maza kya

Tajahul paishgi se muddua kya,
Kahan tak aye sarapa naz kya kya

Nwazish haye be ja daikhta hun,
Shikayat haye rangeen ka gila kya

Nigah e be muhaba chahta hun,
Taghaful haye tamkeen azmaan kya

Farogh e shola e khas yak nafas hai,
Hawas ko pas e namoos e wafa kya

Nafas mauj e muheet e baikhudi hai,
Taghaful haye saqi ka gila kya

Dimagh e etr e pairahan nahi hai,
Gham e awargi haye saba kya

Dil her qatrah hai saz e 'ana al baher',
Hum uske hain hamara poochna kya

Muhaba kya hai, main zamin, idhar daikh,
Sheedan e nigah ka khoon baha kya

Sun aye gharatgar e jins e wafa, sun,
Shikast e qeemat e dil ki sada kya

Kiya kis ne jigardari ka dawa,
Shakeeb e khatir e ashiq bhala kaya

Ye qatil, wada e sabr azman kyon,
Ye kafir fitna e taqat ruba kya

Bala e jaan hai, Ghalib us ki her bat
Ibaarat kya, ishaarat kya, ada kya !!

Baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage

Baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage,
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage,

Ik khail hai aurang-e-sulemaan mere nazdeek,
ik baat hai ' Ijaz-e-maseeha mere aage,

Juz naam nahi soorat-e-aalam mujhe manzoor,
Juz weham nahi hasti-e-ashiya mere aage,

hota hai nihaan gard mein sehra mere hote,
ghista hai jabeen Khaak pe dariya mere aage,

Mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
Tu dekh ke kya rang tera mere aage,

Sach kehte ho, Khud-been-o-Khud_aaraa na kiyun hoon ?
Baitha hai but-e-aaeenaa_seemaa mere aage,

Phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-Guftaar,
Rakh de koi Paimaana-o-sahba mere aage,

Nafrat ka Gumaan Guzare hai, main rashk se guzaraa
Kiyon-kar kahoon, lo naam na uska mere aage,

Imaan mujhe roke hai jo kheenche hai mujhe kufar,
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage,

Aashiq hoon, pe maashooq_faraibi hai mera kaam,
Majnoon ko bura kehti hai Laila mere aage,

Khush hote hain par wasl mein yoon mar nahi jaate,
Aayi shab-e-hijraan ki tamanna mere aage,

Hai mauj_zan ik qulzum-e-KhooN, kaash, yahi ho,
Aata hai abhi dekhiye kya-kya mere aage,

Go haath ko jumbish nahi Aanhon mein to dam hai,
Rehne do abhi Saaghar-o-meena mere aage,

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'Ghalib' ko bura Kiyun kaho acha mere aage !

Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht

Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht 
Dard Se Bhar Na Aaye Kiyun,

Royein Ge Hum hazaar baar koi 

hamein sataye kiyun,

Dair nahi, haram nahi, 

dar nahi, aastan nahi,

Baithe hain Rah-guzar pe hum 

ghair humein uthaye kiyun,

Jab Wo Jamaal-e-dil-Faroz, 

Soorat-e-Mehar-E-Neemroz,

Aap hi ho Nazaara-soz, parde mein 

Moonh chhupaye kiyun ?

Dushna-- ghamzah jaansataan,

naawik-e- naaz be-panah

Tera hi aqsi rukh sahi, 

saamne tere aaye kiyun ?

Qaid e hayat o band e gham 

asl mein donon ek hain,

Maut se pehle admi 

gham se Nijaat paye kiyun,

Husn aur uspe husn e zan, 

reh gayi bul hawas ki sharam

Apne pe aitmaad hai, 

ghair ko aazmayen kyun?

Waan wo ghuroor e azzo naaz, 

yaan ye hijab e paas e waza

Raah mein hum milen kahaan?

bazm mein woh bulaye kyun?

Haan wo nahi kkhuda parast 

jao wo bewafa sahi

Jisko ho din o dil azeez 

uski gali mein jaye kyon?

Ghalib e khasta ke baghair 

kaun se kaam band hain

roiye zar zar kyaa

kijiye hai hai kyon ?

Dil-e-Naadaan Tujhe Hua Kya hai

Dil-e-Naadaan Tujhe Hua Kya hai ?
Aakhir is dard Ki Dawa Kya hai ?

Hum Hain mushtaaq aur woh bezaar,
Ya Ilaahi ! Yeh Maajra kya hai ?

Main bhi Moonh Mein zabaan rakhta hoon,
Kaash ! Poocho K , Muddaa kya hai ?

Jab k tujh bin Nahi Koi Maujood,
Phir ye hangaama, Ay Khuda kya hai ?

Ye Pari Chehara Log kaise hain ?
Ghamza-o-Ishwa-o-'adaa kya hai ?

Shikan-e-zulf-e-Ambari Kiyon hai ?
Nigah-e-Chashm-e-Soorma sa kya hai ?

Sabza-o-Gul kahaan seaaye haiN ?
Abar Kya Cheez hai, Hawa kya hai ?

Hum ko un Se Wafa ki hai Umeed,
Jo Nahi Jaante wafa kya hai,

Haan Bhala Kar Tera Bhala Ho Ga,
Aur Darvaish Ki Sadaa Kya hai ?


Jaan Tum Par Nisaar karta hoon,
Main Nahi Jaanta duaa kya hai ?

Main Ne Maana K kuch Nahi 'Ghalib' 
Muft haath Aaye to Bura kya hai ?

Hazaaron Khuwaahishein Aisi K

Hazaaron Khuwaahishein Aisi K 
Har Khuwaahish Pay Dam Niklay,

Bohat Niklay Mere Armaan 

Lekin Phir Bhi Kam Niklay,

Darray Kiyun Mera Qatil Kya 

Rahay Ga Us ki Gardan Par,

wo khun jo chashm-e-tar say 

umar_bhar yun dam-ba-dam niklay,

Nikalna khuld say adam 

ka suntay aaye hain lekin

bohat be-aabru ho kar tere 

koochay say ham niklay,

Bharam khul jaye zalim 

tere qaamat ki daraazi ka

Agar is turra-e-purapech-o-kham 

ka paich-o-kham niklay

magar likhwaye koi us ko 

khat to ham say likhwaye

hui subah aur ghar say 

kan par rakh kar qalam niklay

hui is daur mein mansoob 

mujh say bada-ashmi

phir aaya wo zamana jo 

jahan se jam-e-jam niklay

hui jin say tawaqqo khastagi 

ki daad panay ki

wo hum say bhi ziyada 

khasta-e-teg-e-sitam niklay,

Muhabbat mein nahi hai 

farq jeenay aur marnay ka,

usi ko dekh kar jeetay hain 

jis kafir pay dam niklay,

zara kar jor sine par ki 

tir-e-pursitam niklay,

Jo wo niklay to dil niklay, 

jo dil niklay to dam niklay

Khuda k wastay parda na 

kaa'bay say utha zalim

kaheen aisa na ho yaan bhi 

wahi kafir sanam niklay

kahan mai_khanay ka 

darwaza 'ghalib' aur kahan waiz

par itna jantay hain kal 

wo jata tha k ham niklay ....

Qasid Ke Aate-Aate Khat Ek Aur Likh Rakhoon

Qasid Ke Aate-Aate Khat Ek Aur Likh Rakhoon
Main jaanta hoon jo woh likhenge jawaab mein,

Kab se hoon, kya bataaun Jahaan-e-kharab mein
Shab haaye hijr ko bhi rakhoon gar hisaab mein!!!

Mujh tak kab unki bazm mein aata tha daur-e-jaam
Saaqi ne kuch mila na diya ho sharaab mein!!!

Taa phir na intezaar mein neend aaye umra bhar
aane ka ahad kar gaye, aaye jo khwaab mein!!!

Gaalib chuti sharaab par abh bhie kabhi kabhi
Peeta hoon roz-e-abr-o-shab-e-maahtaab mein ...

Na Tha Kuch To KHUDA Tha

Na Tha Kuch To KHUDA Tha , 
Kuch Hota To Khuda Hota

Duboya Mujh Ko Hone Ne,

Na Hota Main To Kya Hota

Howa Jab Gham Se Yuon Be His 

To Gham Kiya Sar Ke Katne Ka

Na Hota Gar Juda Tan Se 

To Zano Par Dhara Hota

Hui Mudat Ke Ghalib Mar Gaya,

 Par Yaad Aata Hay

Wo Har Baat Pe Kahna Ke 

Yuon Hota To Kya Hota ...

Sab Kahaan Kuch Lala-o-Gul Mein Numayaan Ho Gain

Sab Kahaan Kuch Lala-o-Gul Mein Numayaan Ho Gain.
Khaak mein kya suratein hongi k pinhaan ho gain,

Yaad thi hamko bhi ranga -ang Bazm-Aaraiyan,
Lekin ab Naqsh-o-Nigaar-e-Taaq-e-Nisiyaan ho gain,

Theen Banatunnash-e-gardun din ko parde mein Nihaan,
Shab ko un k ji mein kya ai k uriyan ho gain

qaid mein yaqub ne li jo na yusuf ki khabar
lekin ankhein rauzan-e-diwar-e-zindan ho gain

sab raqibon se hon nakhush, par zanan-e-misr se
hai zulaikha khush ke mahw-e-mah-e-kanan ho gain

ju-e-khun ankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq
main ye samjhunga k shamaen ho farozan ho gain

in parizadon se lenge khuld mein ham intaqam
qudrat-e-haq se yahi huren agar wan ho gain

nind usai hai, dima uska hai, ratein uski hain
teri zulfein jiske bazu par parishan ho gain

main chaman mein kya gaya, goya dabistan khul gaya
bul-bulein sun kar mere nale, gazalkhwan ho gain

wo nigahein kyun hui jati hain yarab dil k par
jo meri kotahi-e-qismat se mizshgan ho gain

bas k roka main ne aur sine mein ubhaen pai ba pai
meri ahen bakhiya-e-chak-e-gariban ho gain

wan gaya bhi main to unki galiyon ka kya jawab
yad thi jitni duain, sarf-e-darban ho gain

janfiza hai bara, jis k hath mein jam a gaya
sab lakirein hath ki goya rag-e-jan ho gain

ham muwahihad hain, hamara kesh hai tark-e-rusum
millatein jab mit gain, ajza-e-iman ho gain

ranj se khugar hua insan to mit jata hai ranj
mushkilein mujh par pari itni ke asan ho gain

yun hi gar rota raha 'Ghalib', to ae ahl-e-jahan
dekhna in bastiyon ko tum ki wiran ho gain ...

Us Bazm Mein Mujhe Nahi Banti haya kiye

Us Bazm Mein Mujhe Nahi Banti haya kiye,
Baitha raha agarche ishare hua kiye,

dil hi to hai siyasat-e-darban se dar gaya,
Main Urr Jaoon dar se tere bin sada kiye,

rakhta phiroon hoon khirqa-o-sajda rahan-e-may,
Muddat hui hai daawat-e-aab-o-hawa kiye,

Be-sarfa hi Guzarti hai, ho garche umar-e-khizar,
hazrat bhi kal kahein ge k ham kya kiya kiye,

Muqaddar ho to khak se Poochoon k ay laim,
Tu ne wo Ganj haye giranmaya kya kiye,

kis roz tu hama-tan na tarsha kiye adu,
kis din hamare sar pe na are chala kiye,

sohbat mein gair ki na pari ho kahin ye khu,
dene laga hai bose bagair Iltejaa kiye,

zid ki hai aur bat magar khu buri nahi,
bhoole se us ne saikaron wade-wafa kiye,

'Ghalib' Tumhee'n kaho k mile ga jawab kya ?
Maana k tum kaha kiye aur wo suna kiye ...

Wo Firaaq Aur Woh Wisaal Kahan

Wo Firaaq Aur Woh Wisaal Kahan?
Woh Shab-O-Roz-O-Maah-O-Saal Kahan?

Fursat-E-Kaarobaar-E-Shauq Kise?
Zauq-E-Nazzaraa-E-Jamaal Kahan?

Dil To Dil Wo Dimaagh Bhee Na Rahaa
Shor-E-Sauda-E-Khatt-O-Khaal Kahan?

Thee Woh Ik Shakhs Ke Tasavvur Se
Ab Woh Raanaai-E-Khayaal Kahan?

'Eisa Aasaan Naheen Lahoo Rona
Dil Mein Taaqat Jigar Mein Haal Kahan?

Hamse A Qamaar_Khaana-E-Ishq
Waan Jo Jawain, Girah Mein Maal Kahan?

Fikr-E-Duniyaan Mein Sar Khapaata Hoon
Main Kahan Aur Ye Wabaal Kahan?

Muzmahil Ho Gaye Quw-e-'Ghalib'
Wo Anaasir Mein 'Eitdaal Kahan?